fusun-e-KHwab
ba-rañg-e-kaif-o-sarshārī hadīs-e-dil kaho hamdam!
hama-tan gosh hai saa.at
sharāb-e-shab utartī hai bahut āhista āhista
sifāl-e-ḳhvāb meñ maddham
tumheñ is pal ijāzat hai
kaho! yuuñ ḳhalvat-e-jāñ meñ bilorīñ chūḌiyāñ chhan chhan chhanaktī shor kartī haiñ
mirā dil Dol jaatā hai
vufūr-e-husn meñ lipTī tumhārī ambarīñ zulfeñ...
dhḌaknā bhuul jaatā hai
kaho! kājal siyah kājal dhanak rañgoñ kā mela hai
kaho! poreñ ḳhayāloñ kī sunahrī jild meñ jalte diyoñ par raqs kartī haiñ
surāhī-dār gardan par damaktī nuqra.ī mālā... tumhāre kaan kī bālī... ye jādūgar!
ye ishva-gar
talab kī be-zabānī ko atā karte haiñ goyā.ī
tumheñ is pal ijāzat hai
kaho yuuñ bhed ke jaise saraktā raat kā āñchal havā meñ sarsarātā hai
sitārā shauq kā merī nazar meñ jhilmilātā hai
kaho! nā mausam-e-gul hai, gulāboñ kī qatāroñ meñ damakte shabnamī lamhe
tumhāre lams ke pyāse
bahr mauj-e-nafas Thahrā sukūt-e-shauq kā mausam tumheñ āvāz detā hai
tamannā giit kī sūrat laboñ par gungunātī hai
mohabbat be-muhābā ek lamhe ko tarastī hai
tamannā be-ḳhabar! ġhāfil...
fusūn-e-ḳhvāb kī muddat bahut thoḌī bahut kam hai
ba-rang-e-kaif-o-sarshaari hadis-e-dil kaho hamdam!
hama-tan gosh hai saat
sharab-e-shab utarti hai bahut aahista aahista
sifal-e-KHwab mein maddham
tumhein is pal ijazat hai
kaho! yun KHalwat-e-jaan mein bilorin chuDiyan chhan chhan chhanakti shor karti hain
mera dil Dol jata hai
wufur-e-husn mein lipTi tumhaari ambarin zulfen
dhDakna bhul jata hai
kaho! kajal siyah kajal dhanak rangon ka mela hai
kaho! poren KHayalon ki sunahri jild mein jalte diyon par raqs karti hain
surahi-dar gardan par damakti nuqrai mala tumhaare kan ki baali ye jadugar!
ye ishwa-gar
talab ki be-zabani ko ata karte hain goyai
tumhein is pal ijazat hai
kaho yun bhed ke jaise sarakta raat ka aanchal hawa mein sarsaraata hai
sitara shauq ka meri nazar mein jhilmilata hai
kaho! na mausam-e-gul hai, gulabon ki qataron mein damakte shabnami lamhe
tumhaare lams ke pyase
bahr mauj-e-nafas Thahra sukut-e-shauq ka mausam tumhein aawaz deta hai
tamanna git ki surat labon par gungunati hai
mohabbat be-muhaba ek lamhe ko tarasti hai
tamanna be-KHabar! ghafil
fusun-e-KHwab ki muddat bahut thoDi bahut kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.