fusun TuTta hai
ye tajrīdī ḳhākoñ kī tasvīr-gah hai
mirā muñh chiḌāne ko dīvār-o-dar par ka.ī masḳh paikar Tañge haiñ
mujhe ghūrte haiñ Darāte haiñ mujh ko
maiñ un sīdhī-ulTī lakīroñ ke dām-e-riyā meñ ulajh gayā huuñ
bil-āḳhir fusūn-e-riyā TūTtā hai
nigah ek tasvīr ke chaukhaTe par lagī chiT par aa kar rukī hai
vahāñ us kī qīmat likhī hai
jise dekh kar maiñ phir us paikar-e-masḳh ko dekhtā huuñ
jahāñ ik bhayānak dahan hai
jo bad-rañg māthe par phailā huā hai
sadā aa rahī hai
ye bāzār hai misr kā
is meñ me.aar kī koī qīmat nahīñ hai
yahāñ ek anTī pe yūsuf se paiġhāmbar bik chuke haiñ
yahāñ balki qīmat hī me.aar Thahre
ye tajridi KHakon ki taswir-gah hai
mera munh chiDane ko diwar-o-dar par kai masKH paikar Tange hain
mujhe ghurte hain Daraate hain mujh ko
main un sidhi-ulTi lakiron ke dam-e-riya mein ulajh gaya hun
bil-aKHir fusun-e-riya TuTta hai
nigah ek taswir ke chaukhaTe par lagi chiT par aa kar ruki hai
wahan us ki qimat likhi hai
jise dekh kar main phir us paikar-e-masKH ko dekhta hun
jahan ek bhayanak dahan hai
jo bad-rang mathe par phaila hua hai
sada aa rahi hai
ye bazar hai misr ka
is mein mear ki koi qimat nahin hai
yahan ek anTi pe yusuf se paighambar bik chuke hain
yahan balki qimat hi mear Thahre
- Book : Pakistani Adab (Pg. 103)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.