gae
ghaas ke sabz maidān to rah ga.e haiñ faqat ḳhvāb meñ
merā bhārī badan
chāroñ pairoñ kī tahrīk par uTh ke chal to paḌā hai
in āvāra galiyoñ kī añgḌā.iyoñ meñ
magar shahr kī dauḌtī phirtī sāñsoñ se Takrā ke
mismār hone lagī hai mirī har adā
ab to āvāra galiyoñ kī parchhā.īñ meñ
makkhiyāñ shauq se kar rahī haiñ zinā
mirī maġhmūm aañkh ke aflāk par
apnī dum ko hilā kar karūñ kab talak aañkh TeḌhī uḌānoñ ko sīdhī batā
rāstoñ par bhaTakte hue
ruuh kī parvarish ke liye
do jahānoñ ke kāġhaz ko muñh meñ musalsal chabātī huuñ maiñ
saarī ummat kī maañ ban ke
apne hī phailāo meñ baiTh jaatī huuñ maiñ
ab ke jab mujh ko maañ hī banāyā gayā to phir
us muqaddas badan meñ jo ghar kar ga.e haiñ
in andhe sahīfoñ se nikle hue duudh ke chand qatre piyo
aur apne sarāboñ kī gahrā.iyoñ meñ jiyo
ghas ke sabz maidan to rah gae hain faqat KHwab mein
mera bhaari badan
chaaron pairon ki tahrik par uTh ke chal to paDa hai
in aawara galiyon ki angDaiyon mein
magar shahr ki dauDti phirti sanson se Takra ke
mismar hone lagi hai meri har ada
ab to aawara galiyon ki parchhain mein
makkhiyan shauq se kar rahi hain zina
meri maghmum aankh ke aflak par
apni dum ko hila kar karun kab talak aankh TeDhi uDanon ko sidhi bata
raston par bhaTakte hue
ruh ki parwarish ke liye
do jahanon ke kaghaz ko munh mein musalsal chabaati hun main
sari ummat ki man ban ke
apne hi phailao mein baiTh jati hun main
ab ke jab mujh ko man hi banaya gaya to phir
us muqaddas badan mein jo ghar kar gae hain
in andhe sahifon se nikle hue dudh ke chand qatre piyo
aur apne sarabon ki gahraiyon mein jiyo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.