ghaalib aur aam
na the shā.ir hī kuchh baḌe ġhālib
dil-lagī meñ bhī ḳhuub the ġhālib
ḳhuub hañste hañsāte rahte the
baḌī pur-lutf baat kahte the
aam un ko pasand the behad
ya.anī rasiyā the aam ke behad
ḳhud bhī bāzār se mañgāte the
dost bhī aam un ko bhijvāte
phir bhī aamoñ se jī na bhartā thā
aam kā shauq un ko itnā thā
un ke qisse tumheñ sunā.eñ ham
un kī bātoñ se kuchh hañsā.eñ ham
ek mahfil meñ vo bhī baiThe the
log aamoñ kā zikr karte the
aam aisā ho aam vaisā ho
pūchhā ġhālib se aam kaisā ho
bole ġhālib ki pūchhte ho agar
sirf do ḳhūbiyoñ pe rakhiye nazar
baat pahlī ye hai ki mīThā ho
dūsrī baat ye bahut sā ho
ek din dost un ke ghar aa.e
aam ġhālib ne the bahut khaa.e
sāmne ghar ke the paḌe chhilke
us galī meñ se kuchh gadhe guzre
un gadhoñ ne na chhilke vo khaa.e
sūñgh kar un ko baḌh ga.e aage
dost ne jab ye mājrā dekhā
sochā ġhālib ko ab hai samjhānā
dost bole hai shai burī sī aam
dekho khāte nahīñ gad.he bhī aam
hañs ke ġhālib ye dost se bole
jī haañ be-shak gad.he nahīñ khāte
bādshah kar rahe the sair-e-bāġh
ḳhush thā aamoñ se un kā qalb-o-dimāġh
bādshah ke the saath ġhālib bhī
Dālte the nazar vo lalchā.ī
jī meñ ye thā ki ḳhuub khā.eñ aam
bādshah se jo aaj paa.eñ aam
ghūrte the jo ġhālib aamoñ ko
bādshah bole ghūrte kyā ho
bādshah se ye bole vo hañs kar
muhr hotī hai daane daane par
dekhtā huuñ yuuñ ghuur kar maiñ aam
shāyad un par likhā ho merā naam
maqsad un kā jo bādshah paa.e
phir bahut aam un ko bhijvā.e
na the shair hi kuchh baDe ghaalib
dil-lagi mein bhi KHub the ghaalib
KHub hanste hansate rahte the
baDi pur-lutf baat kahte the
aam un ko pasand the behad
yani rasiya the aam ke behad
KHud bhi bazar se mangate the
dost bhi aam un ko bhijwate
phir bhi aamon se ji na bharta tha
aam ka shauq un ko itna tha
un ke qisse tumhein sunaen hum
un ki baaton se kuchh hansaen hum
ek mahfil mein wo bhi baiThe the
log aamon ka zikr karte the
aam aisa ho aam waisa ho
puchha ghaalib se aam kaisa ho
bole ghaalib ki puchhte ho agar
sirf do KHubiyon pe rakhiye nazar
baat pahli ye hai ki miTha ho
dusri baat ye bahut sa ho
ek din dost un ke ghar aae
aam ghaalib ne the bahut khae
samne ghar ke the paDe chhilke
us gali mein se kuchh gadhe guzre
un gadhon ne na chhilke wo khae
sungh kar un ko baDh gae aage
dost ne jab ye majra dekha
socha ghaalib ko ab hai samjhana
dost bole hai shai buri si aam
dekho khate nahin gadhe bhi aam
hans ke ghaalib ye dost se bole
ji han be-shak gadhe nahin khate
baadshah kar rahe the sair-e-bagh
KHush tha aamon se un ka qalb-o-dimagh
baadshah ke the sath ghaalib bhi
Dalte the nazar wo lalchai
ji mein ye tha ki KHub khaen aam
baadshah se jo aaj paen aam
ghurte the jo ghaalib aamon ko
baadshah bole ghurte kya ho
baadshah se ye bole wo hans kar
muhr hoti hai dane dane par
dekhta hun yun ghur kar main aam
shayad un par likha ho mera nam
maqsad un ka jo baadshah pae
phir bahut aam un ko bhijwae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.