gali
maiñ
kabhī nahīñ jaan sakā
gaalī
jazbe kī kaun sī sat.h hai
maiñ ne kabhī gaalī nahīñ dī
magar mujhe hamesha
gāliyoñ se dilchaspī rahī
maiñ har rose
har tarah kī gāliyāñ suntā huuñ
gaalī kisī ko bhī dī jaa.e
uslūb meñ aurat zarūr aatī hai
merī saarī zindagī
lafzoñ ke darmiyān guzrī
mujhe hamesha lafz nazar aate haiñ
gaalī
lafzoñ kī ek tartīb ke sivā kuchh bhī nahīñ
maiñ
gaalī de kar
aam aadmī kī tarah
zinda rahnā chāhtā huuñ
ek tartīb
mujhe aam aadmī banñe nahīñ detī
main
kabhi nahin jaan saka
gali
jazbe ki kaun si sath hai
main ne kabhi gali nahin di
magar mujhe hamesha
galiyon se dilchaspi rahi
main har rose
har tarah ki galiyan sunta hun
gali kisi ko bhi di jae
uslub mein aurat zarur aati hai
meri sari zindagi
lafzon ke darmiyan guzri
mujhe hamesha lafz nazar aate hain
gali
lafzon ki ek tartib ke siwa kuchh bhi nahin
main
gali de kar
aam aadmi ki tarah
zinda rahna chahta hun
ek tartib
mujhe aam aadmi banne nahin deti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.