gandhi
ai rahnumā-e-hind ai ḳhidmat-guzār-e-qaum
naqsh-e-qadam tire haiñ zamāne meñ yādgār
mushkil hai koī tujh sā mile jāñ-nisār-e-qaum
kahne ko yuuñ to mulk meñ leader haiñ be-shumār
ik aam aadmī thā to ye sab ko hai ḳhabar
qudrat ne raaz tujh ko magar kyā batā diyā
har manzil-e-hayāt se terā huā guzar
husn-e-amal ne kyā se tujhe kyā banā diyā
ā.īna tujh pe ho gayā ā.īn-e-zindagī
samjhā hai ḳhuub tū ne ahinsā ke baab ko
apne har ek kaam meñ apnā ke rāstī
tū ne uThāyā chehra-e-haq se naqāb ko
vo terī sādgī tire iḳhlās-o-ittiqā
majbūr hai zabān-e-qalam kyā bayāñ kare
īsār-o-zabt-o-hausla-o-jauhar-e-vafā
ausāf tere koī kahāñ tak ayaañ kare
yaksāñ the kul mazāhib-e-ālam tere liye
har zī-hayāt se tujhe duniyā meñ pyaar thā
bad-hāl the jo un ko uThāne ke vāste
ai dard-mañd qalb tirā be-qarār thā
lekin vatan pe āfat-e-tāza hai aa ga.ī
phir ho rahā hai zer-o-zabar amn kā nizām
āñdhī havā-o-hirs kī bhārat pe chhā ga.ī
farzand tere bhuul chuke haiñ tirā payām
āzād ho ke bhī na koī yuuñ ġhulām ho
bā-īñ-hama duā hai vatan shād-kām ho
ai rahnuma-e-hind ai KHidmat-guzar-e-qaum
naqsh-e-qadam tere hain zamane mein yaadgar
mushkil hai koi tujh sa mile jaan-nisar-e-qaum
kahne ko yun to mulk mein leader hain be-shumar
ek aam aadmi tha to ye sab ko hai KHabar
qudrat ne raaz tujh ko magar kya bata diya
har manzil-e-hayat se tera hua guzar
husn-e-amal ne kya se tujhe kya bana diya
aaina tujh pe ho gaya aain-e-zindagi
samjha hai KHub tu ne ahinsa ke bab ko
apne har ek kaam mein apna ke rasti
tu ne uThaya chehra-e-haq se naqab ko
wo teri sadgi tere iKHlas-o-ittiqa
majbur hai zaban-e-qalam kya bayan kare
isar-o-zabt-o-hausla-o-jauhar-e-wafa
ausaf tere koi kahan tak ayan kare
yaksan the kul mazahib-e-alam tere liye
har zi-hayat se tujhe duniya mein pyar tha
bad-haal the jo un ko uThane ke waste
ai dard-mand qalb tera be-qarar tha
lekin watan pe aafat-e-taza hai aa gai
phir ho raha hai zer-o-zabar amn ka nizam
aandhi hawa-o-hirs ki bhaarat pe chha gai
farzand tere bhul chuke hain tera payam
aazad ho ke bhi na koi yun ghulam ho
ba-in-hama dua hai watan shad-kaam ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.