gane mein kuchh nahin
maiñ sher gaa.e detā huuñ gaane meñ kuchh nahīñ
shohrat mile to haath nachāne meñ kuchh nahīñ
us ne mujhe vazēr-e-ḳhazāna banā diyā
us vaqt jab vatan ke ḳhazāne meñ kuchh nahīñ
loTā hai mere ghar meñ bas ik kaam ke liye
varna tumhāre haath dhulāne meñ kuchh nahīñ
tum pahle mere nāḳhun-e-tadbīr dekh lo
mujh ko tumhārī piiTh khujāne meñ kuchh nahīñ
main sher gae deta hun gane mein kuchh nahin
shohrat mile to hath nachane mein kuchh nahin
us ne mujhe wazeer-e-KHazana bana diya
us waqt jab watan ke KHazane mein kuchh nahin
loTa hai mere ghar mein bas ek kaam ke liye
warna tumhaare hath dhulane mein kuchh nahin
tum pahle mere naKHun-e-tadbir dekh lo
mujh ko tumhaari piTh khujaane mein kuchh nahin
- Book : excuse me (Pg. 70)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.