ganw aur rail
mere gaañv meñ aa.ī rail
bachcho nahīñ ye koī khel
baat hai mere bachpan kī
shāyad unnīs sau pachpan kī
mere dil kī uljhan kī
gaañv meñ kaise aa.ī rail
bachcho nahīñ ye koī khel
mere daadā kahte the
kalkatta jo rahte the
gaañv vaale hañste the
vahāñ saḌak par chalī rail
bachcho nahīñ ye koī khel
kalkatta jaanā thā mushkil
rail to miltī chal kar paidal
tiis miil par thā jo signal
mushkil ko sab jaate jhel
bachcho nahīñ ye koī khel
baḌe log jab jaanā sochte
raat meñ bail-gāḌī ko jot-te
rāste meñ jab Daaku rokte
chhoḌ ke gaaḌī bhāgte bail
bachcho nahīñ ye koī khel
āzādī ne daad miTāyā
gaañv ko shahroñ se milāyā
ummīdoñ kā phuul khilāyā
sadā harī rahe ye bel
bachcho nahīñ ye koī khel
dillī meñ anshan hue
rail ke tab naqshe bane
baabū jī jab ban ga.e
markaz meñ vazīr-e-rail
bachcho nahīñ ye koī khel
shahr se sab kuchh rail se laate
Dibboñ ko nuqsāñ pahuñchāte
chorī karte pakḌe jaate
jo pakḌā.e jaate jail
bachcho nahīñ ye koī khel
mushkil din sab kaT jaate haiñ
lekin vo din yaad aate haiñ
ab to sab collage jaate haiñ
pakaḌ ke bombay-mail
bachcho nahīñ ye koī khel
mere ganw mein aai rail
bachcho nahin ye koi khel
baat hai mere bachpan ki
shayad unnis sau pachpan ki
mere dil ki uljhan ki
ganw mein kaise aai rail
bachcho nahin ye koi khel
mere dada kahte the
kalkatta jo rahte the
ganw wale hanste the
wahan saDak par chali rail
bachcho nahin ye koi khel
kalkatta jaana tha mushkil
rail to milti chal kar paidal
tis mil par tha jo signal
mushkil ko sab jate jhel
bachcho nahin ye koi khel
baDe log jab jaana sochte
raat mein bail-gaDi ko jot-te
raste mein jab Daku rokte
chhoD ke gaDi bhagte bail
bachcho nahin ye koi khel
aazadi ne dad miTaya
ganw ko shahron se milaya
ummidon ka phul khilaya
sada hari rahe ye bel
bachcho nahin ye koi khel
dilli mein anshan hue
rail ke tab naqshe bane
babu ji jab ban gae
markaz mein wazir-e-rail
bachcho nahin ye koi khel
shahr se sab kuchh rail se late
Dibbon ko nuqsan pahunchate
chori karte pakDe jate
jo pakDae jate jail
bachcho nahin ye koi khel
mushkil din sab kaT jate hain
lekin wo din yaad aate hain
ab to sab collage jate hain
pakaD ke bombay-mail
bachcho nahin ye koi khel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.