ganw ka alamiya
jab tum lauToge
to dekhnā
shahr kī vīrāniyāñ
abābīl kī tarah
yahāñ bhī apnā Derā Daal chukī haiñ
ab kisī bhī aañkh meñ
pahchān kī ḳhushbū nahīñ hai
chaubāroñ ke diye
kab ke bujh chuke haiñ
bahut jān-levā sannāTā
vahāñ leTā rahtā hai
jab tum lauToge
tab amrā.iyoñ meñ
khaḌe peḌoñ kī
behad udaas sī
gup-chup sargoshī sunoge
pakke ghāToñ vaalī
nadī kā taT
mūlsarī kā peḌ
thiir jal dhārā
aur
chaupāloñ meñ bujhe hue ghūroñ kī raakh
tumheñ pal bhar
Thaharne ko dāvat
nahīñ deñgī
jab tum lauToge
to dekhnā
jab tum lauToge
to dekhna
shahr ki viraniyan
ababil ki tarah
yahan bhi apna Dera Dal chuki hain
ab kisi bhi aankh mein
pahchan ki KHushbu nahin hai
chaubaron ke diye
kab ke bujh chuke hain
bahut jaan-lewa sannaTa
wahan leTa rahta hai
jab tum lauToge
tab amraiyon mein
khaDe peDon ki
behad udas si
gup-chup sargoshi sunoge
pakke ghaTon wali
nadi ka taT
mulsari ka peD
thir jal dhaara
aur
chaupalon mein bujhe hue ghuron ki rakh
tumhein pal bhar
Thaharne ko dawat
nahin dengi
jab tum lauToge
to dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.