gaon re teri pagDanDiyan
highway se utarte hue
kachche-kachche guzarte hue
jaise dhartī kī hoñ uñgliyāñ
gaaoñ re terī pagDanDiyāñ
fāsloñ ko sameTe hue
be-qarīna sī leTe hue
jaise letī hoñ añgḌā.iyāñ
gaaoñ re terī pagDanDiyāñ
din ke par sarsarāne lage
log khetoñ ko jaane lage
gūñjtī haiñ madhur sīTiyāñ
gaaoñ re terī pagDanDiyāñ
giit panghaT ke gaate hue
pāyaleñ jhanjhanāte hue
paanī bharne chalīñ laḌkiyāñ
gaaoñ re terī pagDanDiyāñ
shaam āñkheñ masalne lagī
niiñd palkoñ meñ jalne lagī
lambī hotī haiñ parchhā.iyāñ
gaaoñ re terī pagDanDiyāñ
highway se utarte hue
kachche-kachche guzarte hue
jaise dharti ki hon ungliyan
gaon re teri pagDanDiyan
faslon ko sameTe hue
be-qarina si leTe hue
jaise leti hon angDaiyan
gaon re teri pagDanDiyan
din ke par sarsarane lage
log kheton ko jaane lage
gunjti hain madhur siTiyan
gaon re teri pagDanDiyan
git panghaT ke gate hue
payalen jhanjhanate hue
pani bharne chalin laDkiyan
gaon re teri pagDanDiyan
sham aankhen masalne lagi
nind palkon mein jalne lagi
lambi hoti hain parchhaiyan
gaon re teri pagDanDiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.