ghaarat tamasha ho gaya
mujh ko vo kuttā
sabā qadmoñ uchhaltā
maḳhmalī sabze pe tohfa
husn-e-mutlaq kā banā dil-kash lagā thā
lambe bāloñ
ruī ke gāloñ ko pahne
jism is kā geñd sā lagne lagā thā
ik gulābī narm uñglī
narm paTTā
halkī sī zanjīr
vo kuttā bahut achchhā lagā thā
haañ magar vo geñd sā
kuttā uchhaltā bhī
achānak ek patthar ke sire par
sūñghtā kuchh ruk gayā
aur aam kuttoñ kī tarah
ik Taañg apnī jab uThā kar
hasb-e-ḳhaslat kar gayā
ġhārat tamāshā ho gayā
mujh ko wo kutta
saba qadmon uchhalta
maKHmali sabze pe tohfa
husn-e-mutlaq ka bana dil-kash laga tha
lambe baalon
rui ke galon ko pahne
jism is ka gend sa lagne laga tha
ek gulabi narm ungli
narm paTTa
halki si zanjir
wo kutta bahut achchha laga tha
han magar wo gend sa
kutta uchhalta bhi
achanak ek patthar ke sire par
sunghta kuchh ruk gaya
aur aam kutton ki tarah
ek Tang apni jab uTha kar
hasb-e-KHaslat kar gaya
ghaarat tamasha ho gaya
- Book : Hawa ke shamiane mein (Pg. 71)
- Author : Jafar Sahni
- Publication : Educational Publishing House (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.