gata hua patthar
dariyā kuchh nahīñ
us ke jal kī miThās kuchh nahīñ
us kī machhliyāñ aur us kā biphrāo kuchh nahīñ
maiñ jab ek gaatā huā patthar us meñ pheñktā huuñ
to dariyā ek giit ban jaatā hai
jo apne utaar chaḌhāo aur biphrāo meñ
zindagī se kam pur-shor nahīñ
aur zindagī kā yahī shor dariyā hai
yahī machhlī yahī machherā
yahī mīThā jal
aur yahī shā.irī hai
dariya kuchh nahin
us ke jal ki miThas kuchh nahin
us ki machhliyan aur us ka biphrao kuchh nahin
main jab ek gata hua patthar us mein phenkta hun
to dariya ek git ban jata hai
jo apne utar chaDhao aur biphrao mein
zindagi se kam pur-shor nahin
aur zindagi ka yahi shor dariya hai
yahi machhli yahi machhera
yahi miTha jal
aur yahi shairi hai
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 224)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.