gaDbaD jhaala
aalā baalā makḌī kā jaalā
makḌī bhūrī makḌā kaalā
ghaat lagā.e donoñ baiThe
ḳhāmoshī se japte maalā
lo jaale meñ phañs ga.ī makkhī
dauḌ ke fauran pahuñchī makḌī
us ko mazbūtī se jakḌā
ḳhuub use jaale meñ lipTā
haath paañv makkhī ne chalā.e
lekin us ke kaam na aa.e
jaañ haarī bechārī makkhī
khā ga.e us ko makḌā makḌī
dekh ke saarā gaḌbaḌ jhālā
huī udaas mā'sūm ġhazāla
kahne lagī vo aalā baalā
hā.e-re vo makḌī kā jaalā
jis meñ phañs ga.ī makkhī baalā
aalā baalā makḌī kā jaalā
sheroñ ko jangal meñ dekho
hiran bane hai un kā nivāla
isī tarah chaltī hai duniyā
hairāñ kyoñ hotī hai ġhazāla
tum har jān-dār ko dekho
ik dūsre kā hai vo nivāla
aala baala makDi ka jala
makDi bhuri makDa kala
ghat lagae donon baiThe
KHamoshi se japte mala
lo jale mein phans gai makkhi
dauD ke fauran pahunchi makDi
us ko mazbuti se jakDa
KHub use jale mein lipTa
hath panw makkhi ne chalae
lekin us ke kaam na aae
jaan haari bechaari makkhi
kha gae us ko makDa makDi
dekh ke sara gaDbaD jhaala
hui udas ma'sum ghazala
kahne lagi wo aala baala
hae-re wo makDi ka jala
jis mein phans gai makkhi baala
aala baala makDi ka jala
sheron ko jangal mein dekho
hiran bane hai un ka niwala
isi tarah chalti hai duniya
hairan kyon hoti hai ghazala
tum har jaan-dar ko dekho
ek dusre ka hai wo niwala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.