ghaddar
bhuuk ġhaddār hai
bhuuk meñ peT par haath rakhnā gunah
pyaas ġhaddār hai
pyaas meñ āsmānoñ ko taknā gunah
lafz ġhaddār haiñ
sach meñ lipTe hue
justujū ke na.e rāste kholte lafz ġhaddār haiñ
sach bhī ġhaddār hai
fahm-o-idrāk detā huā sach kisī dūsre mulk kā koī jāsūs hai
ḳhvāb ġhaddār haiñ
zindagī ko na.ī karvaTeñ baḳhshne vaale saare tasavvur
na.ī justujū ke qarīne
na.e rāste par uThā.e ga.e sab qadam sab savālāt ġhaddār haiñ
vaqt ġhaddār hai
vaqt kā sāz-o-āhañg bhī aur na.ī lai par ugtī sadā.eñ bhī ḳhatrāt haiñ
bhuuk ke raaj par
ḳhauf ke aaj par
ġham kī āvāz par
nāchne vaale saarī madārī muhibb-e-vatan
des meñ basne vaalā har ik sach-pasand
zulm-o-vahshat se duurī par har kār-band
saañs lene kā haq māñgne vaalā har naujavāñ
zindagī kī ramaq khojne vaalā har ḳhāndāñ
saare ġhaddār haiñ
saare jāsūs haiñ
hākim-o-sipah-sālār-o-ashrāfiya
ke ishāroñ pe na nāchne vaale kuffār haiñ
nāqidīñ sāzishī
sochne vaale
gustāḳh haiñ
aur vo saare qalamkār
agnet haiñ
jo nigūñ-sar nahīñ
vo jinheñ fitrat-e-sabz ne
jāñ-fishānī se logoñ ke chehroñ pe ugtī thakan
vahshateñ tīrgī
duur pur-shor kī sachchī tārīḳh meñ tonic dene kī gustāḳhiyoñ
kā jarīda kiyā
āyat-e-muflisī se koī sar-kashī
gumbad-e-tishnagī par shikāyat koī
maz.hab-e-tīra-baḳhtī kī tauhīn hai
apnī dhartī ke gale se apne liye koī hissa talab karnā ilhād hai
aur vaise bhī gandum to shaitāniyat hī kī ījād hai
bhuuk ġhaddār hai
bhuk ghaddar hai
bhuk mein peT par hath rakhna gunah
pyas ghaddar hai
pyas mein aasmanon ko takna gunah
lafz ghaddar hain
sach mein lipTe hue
justuju ke nae raste kholte lafz ghaddar hain
sach bhi ghaddar hai
fahm-o-idrak deta hua sach kisi dusre mulk ka koi jasus hai
KHwab ghaddar hain
zindagi ko nai karwaTen baKHshne wale sare tasawwur
nai justuju ke qarine
nae raste par uThae gae sab qadam sab sawalat ghaddar hain
waqt ghaddar hai
waqt ka saz-o-ahang bhi aur nai lai par ugti sadaen bhi KHatraat hain
bhuk ke raj par
KHauf ke aaj par
gham ki aawaz par
nachne wale sari madari muhibb-e-watan
des mein basne wala har ek sach-pasand
zulm-o-wahshat se duri par har kar-band
sans lene ka haq mangne wala har naujawan
zindagi ki ramaq khojne wala har KHandan
sare ghaddar hain
sare jasus hain
hakim-o-sipah-salar-o-ashrafiya
ke ishaaron pe na nachne wale kuffar hain
naqidin sazishi
sochne wale
gustaKH hain
aur wo sare qalamkar
agnet hain
jo nigun-sar nahin
wo jinhen fitrat-e-sabz ne
jaan-fishani se logon ke chehron pe ugti thakan
wahshaten tirgi
dur pur-shor ki sachchi tariKH mein tonic dene ki gustaKHiyon
ka jarida kiya
aayat-e-muflisi se koi sar-kashi
gumbad-e-tishnagi par shikayat koi
mazhab-e-tira-baKHti ki tauhin hai
apni dharti ke gale se apne liye koi hissa talab karna ilhad hai
aur waise bhi gandum to shaitaniyat hi ki ijad hai
bhuk ghaddar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.