gaDhon wali laDki
jab vo boltī hai
jab chup ho jaatī hai
aur jab hañstī hai
aur rotī hai jab
us ke ruḳhsāroñ meñ
hoñToñ ke kināroñ par
abrūoñ ke paas
chāh-e-zaqan kī tarah
Dimple paḌte haiñ
aur mazīd Dimple paḌte haiñ
jab vo qahqaha lagātī hai
aur jab gaane lagtī hai
ḳhush hote vaqt bhī
jis tarah dukh meñ
aañsū bahāte hue
jo gaal ke gaḌhe meñ jā girte haiñ
ġhusse meñ
chehre par bhañvar ban jaate haiñ
parinde jis par chakrāte haiñ
udāsī meñ qadīm khañDar
billiyāñ jahāñ chīḳhtī haiñ
aur karb meñ bhī
jab ye us narm maas ko Dhāñptā hai
to ek black hole
us ke puure vajūd ko
nigalne lagtā hai
jab wo bolti hai
jab chup ho jati hai
aur jab hansti hai
aur roti hai jab
us ke ruKHsaron mein
honTon ke kinaron par
abruon ke pas
chah-e-zaqan ki tarah
Dimple paDte hain
aur mazid Dimple paDte hain
jab wo qahqaha lagati hai
aur jab gane lagti hai
KHush hote waqt bhi
jis tarah dukh mein
aansu bahate hue
jo gal ke gaDhe mein ja girte hain
ghusse mein
chehre par bhanwar ban jate hain
parinde jis par chakraate hain
udasi mein qadim khanDar
billiyan jahan chiKHti hain
aur karb mein bhi
jab ye us narm mas ko Dhanpta hai
to ek black hole
us ke pure wajud ko
nigalne lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.