ghair-nisabi tariKH
shāhī darbār maiñ ḳhādim-e-ḳhās kā elaan
taḳhliya
raqs-e-junūñ-ḳhez pe nau-ḳhez badan
shahr maiñ ādam-e-ḳhākī kai lahū kī qīmat
dene aa.e haiñ mahārāj ke maiḳhāne maiñ
rañg aur nuur kī barsāt ke beach
kaun dekhegā be-sar kī lāsheñ
nau-badan jām-e-tahayyur kā nayā zā.iqa haiñ
jan pe do-laḳht kiye jaate haiñ mulkoñ ke badan
shāhī darbār meñ mahārāj kā elaan
sāhibo
dhuñd kī tahzīb kā parchār karo
jin par na.are haiñ likhe ghar vo tah-e-ḳhāk karo
shahr meñ gūñje faqat naġhma-e-tausīf-e-riyā
hurmat-e-harf ho pāband-e-shikoh-e-aivāñ
zikr mat ho kahīñ jalte hue ḳhiyām kā bas
sirf tārīḳh maiñ chamke mirā farmān-e-shahī
shāhī darbār meñ vazīr-e-bā-tadbīr kā mashvara
taḳhliya
sāhibo ye vaqt hai sarshārī kā
faisle kal pe uThā rakhte haiñ mustaqbil ke
is samay shahr meñ barpā karo jaadū koī
log masrūf raheñ vaqt guzar jaa.e bas
ḳhaak ho jā.eñgī sadiyāñ yūñhī qadmoñ ke tale
shāhī darbār meñ mahārāj kā muḳhbir-e-ḳhās ko hukm
lahn-e-sālār batā haal zamāne kā mujhe
us meñ bas mujh ko batā merī ḳhabar kī bābat
mat sunā ḳhasta zamānoñ kī shikasta bāteñ
lafz likh mere liye nok-e-qalam se aur phir
shahar-bhar meñ yahī tārīḳh munādī kar de
vaqt ke saare mo.arriḳh kareñ bai.at us kī
phuul par ḳhuun nahīñ thā vo nam-e-shabnam thā
ek ḳhāmosh riyāzat thī ajal kā chakkar
be-badan ḳhvāb the tahzīb kā nau-rafta-mizāj
shāhī darbār se bāhar re.āyā kā mizāj
dosto yuuñ hī salāmat rahe aivāñ kā vaqār
rizq maltā rahe ra.anā.ī kā āñkhoñ ko yūñhī
yuuñ hī baTtī rahe ḳhairāt-e-kafan gard-e-yaqīñ
yuuñ hī miltī rahe qabroñ ke liye muft zamīñ
dosto yuuñ hī salāmat rahe aivāñ kā vaqār
shahi darbar main KHadim-e-KHas ka elan
taKHliya
raqs-e-junun-KHez pe nau-KHez badan
shahr main aadam-e-KHaki kai lahu ki qimat
dene aae hain mahaaraj ke maiKHane main
rang aur nur ki barsat ke beach
kaun dekhega be-sar ki lashen
nau-badan jam-e-tahayyur ka naya zaiqa hain
jan pe do-laKHt kiye jate hain mulkon ke badan
shahi darbar mein mahaaraj ka elan
sahibo
dhund ki tahzib ka parchaar karo
jin par nare hain likhe ghar wo tah-e-KHak karo
shahr mein gunje faqat naghma-e-tausif-e-riya
hurmat-e-harf ho paband-e-shikoh-e-aiwan
zikr mat ho kahin jalte hue KHiyam ka bas
sirf tariKH main chamke mera farman-e-shahi
shahi darbar mein wazir-e-ba-tadbir ka mashwara
taKHliya
sahibo ye waqt hai sarshaari ka
faisle kal pe uTha rakhte hain mustaqbil ke
is samay shahr mein barpa karo jadu koi
log masruf rahen waqt guzar jae bas
KHak ho jaengi sadiyan yunhi qadmon ke tale
shahi darbar mein mahaaraj ka muKHbir-e-KHas ko hukm
lahn-e-salar bata haal zamane ka mujhe
us mein bas mujh ko bata meri KHabar ki babat
mat suna KHasta zamanon ki shikasta baaten
lafz likh mere liye nok-e-qalam se aur phir
shahar-bhar mein yahi tariKH munadi kar de
waqt ke sare moarriKH karen baiat us ki
phul par KHun nahin tha wo nam-e-shabnam tha
ek KHamosh riyazat thi ajal ka chakkar
be-badan KHwab the tahzib ka nau-rafta-mizaj
shahi darbar se bahar reaya ka mizaj
dosto yun hi salamat rahe aiwan ka waqar
rizq malta rahe ranai ka aankhon ko yunhi
yun hi baTti rahe KHairaat-e-kafan gard-e-yaqin
yun hi milti rahe qabron ke liye muft zamin
dosto yun hi salamat rahe aiwan ka waqar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.