ghalat-fahmi
jān-levā ek jhāḌī
jis kā masraf kuchh nahīñ
aur paidā.ish nahīñ mutlaq bhī muhtāj-e-zamīñ
ye hai ḳhud-rau
dam-zadan meñ
yak-ba-yak ug aa.e apne aap hī
is jagah yā us jagah kyoñ har kahīñ
jis pe aayad shart-e-mausam bhī nahīñ
phuul patte sab zahrīle bahut
zahr bhī vo har samm-e-qātil se baḌh kar zūd-asar
us pe kāñTe
aur kāñToñ kī chubhan ḳhuñḳhār nezoñ se ziyāda tez-tar
jaan-lewa ek jhaDi
jis ka masraf kuchh nahin
aur paidaish nahin mutlaq bhi muhtaj-e-zamin
ye hai KHud-rau
dam-zadan mein
yak-ba-yak ug aae apne aap hi
is jagah ya us jagah kyon har kahin
jis pe aayad shart-e-mausam bhi nahin
phul patte sab zahrile bahut
zahr bhi wo har samm-e-qatil se baDh kar zud-asar
us pe kanTe
aur kanTon ki chubhan KHunKHar nezon se ziyaada tez-tar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.