gali lai mar gaya
haañ ye sach hai
galileo mar gayā hai
magar us kī ainak
mire paas dharī hai
vo aksar yaad aatā hai
aur is liye aksar
us kī ainak nikāl laatā huuñ
sitāroñ kī gardisheñ
ab tez lagtī haiñ
galileo galī laa.ī
jāntā hogā
gardishoñ kī tez-gāmī
TūTte tāroñ kā matlab
vo behtar jāntā hogā
batāyā to thā us ne
magar shāyad
ik mere sivā us ko
kisī ne Thiik se samjhā nahīñ hai
galī laa.ī kī ainak se
jab bhī dekhtā huuñ
madāroñ kī halchal baḌh rahī hai
daraḳhshāñ har sitāra
ātishīñ nazar aane lagā hai
han ye sach hai
galileo mar gaya hai
magar us ki ainak
mere pas dhari hai
wo aksar yaad aata hai
aur is liye aksar
us ki ainak nikal lata hun
sitaron ki gardishen
ab tez lagti hain
galileo gali lai
jaanta hoga
gardishon ki tez-gami
TuTte taron ka matlab
wo behtar jaanta hoga
bataya to tha us ne
magar shayad
ek mere siwa us ko
kisi ne Thik se samjha nahin hai
gali lai ki ainak se
jab bhi dekhta hun
madaron ki halchal baDh rahi hai
daraKHshan har sitara
aatishin nazar aane laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.