gham-e-hayat
ġham-e-hayāt ke naġhmoñ kā maiñ muġhannī huuñ
ġham-e-hayāt kī lazzat kā huuñ maiñ shaidā.ī
ye jazba jo dil-e-betāb se fuzūñ-tar hai
kahīñ se gardish-e-shām-o-sahar uḌā laa.ī
nazar ko detā hai ye raushnī tajassus kī
ye ġham banātā hai dil ko dil-e-tamannā.ī
ye rāz-hā-e-tag-o-dau ko faash kartā hai
ye rāh-rau ko sikhātā hai jāda-paimā.ī
isī se garmī-e-bazm-e-hayāt baaqī hai
yahī hai dahr ke har inqalāb kā baanī
kahīñ na Das le ye tanhā.ī-e-hayāt mujhe
tū ġham se siikh le ādāb-e-bazm-ārā.ī
na kar hisār-e-man-o-tū meñ apnā ġham mahdūd
ki ho ye aam to phir zindagī hai āfāqī
gham-e-hayat ke naghmon ka main mughanni hun
gham-e-hayat ki lazzat ka hun main shaidai
ye jazba jo dil-e-betab se fuzun-tar hai
kahin se gardish-e-sham-o-sahar uDa lai
nazar ko deta hai ye raushni tajassus ki
ye gham banata hai dil ko dil-e-tamannai
ye raaz-ha-e-tag-o-dau ko fash karta hai
ye rah-rau ko sikhata hai jada-paimai
isi se garmi-e-bazm-e-hayat baqi hai
yahi hai dahr ke har inqalab ka bani
kahin na Das le ye tanhai-e-hayat mujhe
tu gham se sikh le aadab-e-bazm-arai
na kar hisar-e-man-o-tu mein apna gham mahdud
ki ho ye aam to phir zindagi hai aafaqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.