gham-e-jaanan
pindār jaag uThā hai mohabbat ke dard kā
ye raushnī bhī ḳhāna-e-dil meñ huī hai aaj
zulmat-fashāñ rahā na tirī ḳhvāb kā fusūñ
mahrūmiyoñ ne mujh ko diyā ik nayā jahāñ
jaltā huuñ ab nigāh-e-mohabbat kī aag meñ
māyūsiyoñ meñ khoī huī zindagī kahāñ
kab terī bārgāh se nafrat hai ai nadīm
sajde luTā sakā to luTā.ūñgā aaj bhī
ashkoñ se aaj bhī vahī tūfāñ uThā.ūñgā
lekin ye naqsh-e-pā koī manzil nahīñ mirī
dhokā thā ik fareb thā āñkhoñ ke sāmne
achchhā huā ki TuuT gayā vo hasīn jaal
ab to badal gayā hai mire ġham kā āstāñ
tābinda-tar hai ruuh ke tāroñ kā bhī jamāl
ab to chamak uThī hai mohabbat kī shāhrāh
qadmoñ ko tez tez baḌhā.ūñ mire nadīm
har samt uḌ rahī haiñ havāoñ meñ ye sharār
chingāriyāñ bikhertā jā.ūñ mire nadīm
tujh ko na pā sakā to koī ġham nahīñ mujhe
laḌ to sakūñgā aaj ḳhizāñ ke ḳhilāf maiñ
laḌ to sakūñgā ḳhūn-e-tamannā ke josh meñ
apnī shikast apnī fuġhāñ ke ḳhilāf maiñ
pindar jag uTha hai mohabbat ke dard ka
ye raushni bhi KHana-e-dil mein hui hai aaj
zulmat-fashan raha na teri KHwab ka fusun
mahrumiyon ne mujh ko diya ek naya jahan
jalta hun ab nigah-e-mohabbat ki aag mein
mayusiyon mein khoi hui zindagi kahan
kab teri bargah se nafrat hai ai nadim
sajde luTa saka to luTaunga aaj bhi
ashkon se aaj bhi wahi tufan uThaunga
lekin ye naqsh-e-pa koi manzil nahin meri
dhoka tha ek fareb tha aankhon ke samne
achchha hua ki TuT gaya wo hasin jal
ab to badal gaya hai mere gham ka aastan
tabinda-tar hai ruh ke taron ka bhi jamal
ab to chamak uThi hai mohabbat ki shahrah
qadmon ko tez tez baDhaun mere nadim
har samt uD rahi hain hawaon mein ye sharar
chingariyan bikherta jaun mere nadim
tujh ko na pa saka to koi gham nahin mujhe
laD to sakunga aaj KHizan ke KHilaf main
laD to sakunga KHun-e-tamanna ke josh mein
apni shikast apni fughan ke KHilaf main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.