gham-gusari
dost māyūs na ho
silsile bante bigaḌte hī rahe haiñ akasr
terī palkoñ pe ye ashkoñ ke sitāre kaise
tujh ko ġham hai tirī mahbūb tujhe mil na sakī
aur jo ziist tarāshī thī tire ḳhvāboñ ne
jab paḌī choT haqā.eq kī to vo TuuT ga.ī
tujh ko ma.alūm hai maiñ ne bhī mohabbat kī thī
aur anjām-e-mohabbat bhī hai ma.alūm tujhe
tujh se pahle bhī bujhe haiñ yahāñ lākhoñ hī charāġh
terī nākāmī na.ī baat nahīñ dost mere
kis ne paa.ī hai ġham-e-zīst kī talḳhī se najāt
chār-o-nā-chār ye zahrāb sabhī piite haiñ
jaañ luTā dene ke farsūda fasānoñ pe na jā
kaun martā hai mohabbat meñ sabhī jiite haiñ
vaqt har zaḳhm ko har ġham ko miTā detā hai
vaqt ke saath ye sadma bhī guzar jā.egā
aur ye bāteñ jo dohrā.ī haiñ maiñ ne is vaqt
tū bhī ik roz inhī bātoñ ko dohrā.egā
dost māyūs na ho!
silsile bante bigaḌte hī rahe haiñ akasr
dost mayus na ho
silsile bante bigaDte hi rahe hain akasr
teri palkon pe ye ashkon ke sitare kaise
tujh ko gham hai teri mahbub tujhe mil na saki
aur jo zist tarashi thi tere KHwabon ne
jab paDi choT haqaeq ki to wo TuT gai
tujh ko malum hai main ne bhi mohabbat ki thi
aur anjam-e-mohabbat bhi hai malum tujhe
tujh se pahle bhi bujhe hain yahan lakhon hi charagh
teri nakaami nai baat nahin dost mere
kis ne pai hai gham-e-zist ki talKHi se najat
chaar-o-na-chaar ye zahrab sabhi pite hain
jaan luTa dene ke farsuda fasanon pe na ja
kaun marta hai mohabbat mein sabhi jite hain
waqt har zaKHm ko har gham ko miTa deta hai
waqt ke sath ye sadma bhi guzar jaega
aur ye baaten jo dohrai hain main ne is waqt
tu bhi ek roz inhi baaton ko dohraega
dost mayus na ho!
silsile bante bigaDte hi rahe hain akasr
- Book : Rag-e-jan (Pg. 109)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.