gham
jahāñ meñ ġham bhī hai raushan-tarīñ sitāroñ meñ
dikhātā raah hai zulmat ke ḳhārzāroñ meñ
nahīñ surūd meñ chañg-o-rabāb meñ bhī nahīñ
vo ek lai ki hai TuuTe diloñ ke tāroñ meñ
ḳhizāñ kī shaukat-o-azmat hai un pe sab zāhir
jo DhūñDte use phirte rahe bahāroñ meñ
ḳhushī se husn nikhartā hai zāhirī lekin
jamīl rūhoñ ko pāoge ġham ke māroñ meñ
baġhair dard nahīñ hai kabhī zuhūr-e-hayāt
jigar kā ḳhuun ubhartā hai shāhkāroñ meñ
makīñ haram ke musībat ko un kī kyā jāneñ
jo ḳhaak chhānte haiñ ajnabī dayāroñ meñ
pasand aayā jo TuuTe diloñ kā izz-o-niyāz
to bas gayā hai ḳhudā bhī gunahgāroñ meñ
kabhī to dekhte tum aa ke ġham nasīboñ ko
hasīn daaġh hai siine ke lāla-zāroñ meñ
jahan mein gham bhi hai raushan-tarin sitaron mein
dikhata rah hai zulmat ke KHarzaron mein
nahin surud mein chang-o-rabab mein bhi nahin
wo ek lai ki hai TuTe dilon ke taron mein
KHizan ki shaukat-o-azmat hai un pe sab zahir
jo DhunDte use phirte rahe bahaaron mein
KHushi se husn nikharta hai zahiri lekin
jamil ruhon ko paoge gham ke maron mein
baghair dard nahin hai kabhi zuhur-e-hayat
jigar ka KHun ubharta hai shahkaron mein
makin haram ke musibat ko un ki kya jaanen
jo KHak chhante hain ajnabi dayaron mein
pasand aaya jo TuTe dilon ka izz-o-niyaz
to bas gaya hai KHuda bhi gunahgaron mein
kabhi to dekhte tum aa ke gham nasibon ko
hasin dagh hai sine ke lala-zaron mein
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 89)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.