gham mat karna
sattar saal tumhārī paslī se
ḳhud ko bāñdh kar
chalī huuñ
kabhī burī huuñ
kabhī bhalī huuñ
mere mahbūb
maiñ tumhārī nigāhoñ kā sahārā lete lete
thak chukī huuñ
tumhārī sāñsoñ kī Dor
mere maas meñ
rahguzar banā kar haDDiyoñ ko sard lahar
oḌhā.e
qisse sunāte nahīñ thaktī
merī palkeñ chilman banñe se ḳhauf khātī haiñ
ek āvāz kahtī hai
darvāze ke bāhar
raste aur imārateñ badal chukī haiñ
tum inheñ kaaT kar parcham banā saktī ho
mere mahbūb
kabhī aisā ho to
merī ḳhūbsūrat palkoñ kā ġham mat karnā
sattar sal tumhaari pasli se
KHud ko bandh kar
chali hun
kabhi buri hun
kabhi bhali hun
mere mahbub
main tumhaari nigahon ka sahaara lete lete
thak chuki hun
tumhaari sanson ki Dor
mere mas mein
rahguzar bana kar haDDiyon ko sard lahar
oDhae
qisse sunate nahin thakti
meri palken chilman banne se KHauf khati hain
ek aawaz kahti hai
darwaze ke bahar
raste aur imaraten badal chuki hain
tum inhen kaT kar parcham bana sakti ho
mere mahbub
kabhi aisa ho to
meri KHubsurat palkon ka gham mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.