gham
raat vīrān hai bahut vīrān
āsmāñ laash hai jalī huī laash
jis ke siine pe chiyūñTiyoñ kī tarah
ek amboh hai sitāroñ kā
rizq chunte haiñ aur khāte haiñ
ḳhāmushī se guzarte jaate haiñ
haa.e ye raat haa.e haa.e ye raat
kab basar hogī kaise guzregī
koī dekhe mirī nazar se use
koī chāra mujhe batā.e mirā
kuchh ilaaj us nazar kā koī davā
yā phir āñkheñ hī noch le merī
hai masīhā koī tabīb koī
kaun mere alāva dekhegā
jo mirī aañkh par bhī hai dushvār
ġham kī azmat ko kaun pahchāne
chhoḌ kar zindagī kā kārobār
kise fursat ki aañkh uThā.e zarā
shab kī vīrāniyoñ kā nauha likhe
āsmāñ kā janāza paḌh Daale
aur sitāroñ kā rāsta roke
kise fursat hai mujh se baat kare
merī āñkhoñ meñ jhāñk kar dam-bhar
mujh se pūchhe ki maiñ ne kyā dekhā
bharī duniyā meñ kaun dīda-var
kaun rakhtā hai merī jaisī nazar
kaun pūchhe ki maiñ ne kyā dekhā
ġham kī azmat ko kaun pahchānā
kise fursat ki mujh ko pahchāne
raat viran hai bahut viran
aasman lash hai jali hui lash
jis ke sine pe chiyunTiyon ki tarah
ek amboh hai sitaron ka
rizq chunte hain aur khate hain
KHamushi se guzarte jate hain
hae ye raat hae hae ye raat
kab basar hogi kaise guzregi
koi dekhe meri nazar se use
koi chaara mujhe batae mera
kuchh ilaj us nazar ka koi dawa
ya phir aankhen hi noch le meri
hai masiha koi tabib koi
kaun mere alawa dekhega
jo meri aankh par bhi hai dushwar
gham ki azmat ko kaun pahchane
chhoD kar zindagi ka karobar
kise fursat ki aankh uThae zara
shab ki viraniyon ka nauha likhe
aasman ka janaza paDh Dale
aur sitaron ka rasta roke
kise fursat hai mujh se baat kare
meri aankhon mein jhank kar dam-bhar
mujh se puchhe ki main ne kya dekha
bhari duniya mein kaun dida-war
kaun rakhta hai meri jaisi nazar
kaun puchhe ki main ne kya dekha
gham ki azmat ko kaun pahchana
kise fursat ki mujh ko pahchane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.