bhuuk se bharī āñkheñ
āsmān kī jānib
tak rahī haiñ dhartī se
ik hasīn rocket ko
jis ke surḳh parcham par
bāliyāñ haiñ gandum kī
bhuuk se bharī āñkheñ
jāntī nahīñ lekin
bāliyāñ to gehūñ kī
ḳhushnumā bahāne haiñ
chamchamāte ḳhoshoñ meñ
zahr-nāk daane haiñ
surḳh surḳh dānoñ meñ
itemi balā.eñ haiñ
jāñ-gusil davā.eñ haiñ
bhuk se bhari aankhen
aasman ki jaanib
tak rahi hain dharti se
ek hasin rocket ko
jis ke surKH parcham par
baaliyan hain gandum ki
bhuk se bhari aankhen
jaanti nahin lekin
baaliyan to gehun ki
KHushnuma bahane hain
chamchamate KHoshon mein
zahr-nak dane hain
surKH surKH danon mein
itemi balaen hain
jaan-gusil dawaen hain
- Book : Aank Mein Luknat (Pg. 192)
- Author : Ghazanfar
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.