ganga ashnan
ai bahār-e-gang ai sarmāya-e-pākīzgī
terī hastī tishna-kāmoñ ke liye mai-ḳhāna hai
dars-āmoz-e-fanā hai qatra qatra aab kā
yā habāboñ kī zabāñ par na.ara-e-mastāna hai
tere pahlū meñ hai ik doshīza-e-husn-o-jamāl
jis kī tasvīr-e-javānī ik sarāpā nuur hai
mauj ik aTkheliyoñ se chheḌ kartī hai vo aañkh
jo azal se kaif-āgīñ hai nashe meñ chuur hai
tālib-e-dīdār kā bahtā hai dil lahroñ ke saath
ma.arifat kā zauq paatā hai kañval ke phuul meñ
har kalī kī tah meñ sāmān-e-latāfat dekh kar
aab kī chādar meñ ho jaate haiñ poshīda gunāh
nuur kā paikar banā deñgī lakīreñ mauj kī
dāġh-e-zulmat ko miTā degī ye aabī jalva-gāh
ġhair-mumkin hai ki dil meñ raushnī paidā na ho
bulbule paanī ke haiñ insān meñ vahdat kī sham.a
sādhūoñ ke vāste updesh hai maujoñ kā raag
haath meñ le kar khaḌe haiñ devtā jannat kī sham.a
terī mauj-e-muztarib hai aur dil-e-pur-josh hai
ya.anī betābi meñ us kā mudda.ā mil jā.egā
halqa-e-girdāb meñ naqsh-e-haqīqat dekh kar
ġhuncha-e-gul kī tarah dil kā kañval khil jā.egā
ai bahaar-e-gang ai sarmaya-e-pakizgi
teri hasti tishna-kaamon ke liye mai-KHana hai
dars-amoz-e-fana hai qatra qatra aab ka
ya hababon ki zaban par nara-e-mastana hai
tere pahlu mein hai ek doshiza-e-husn-o-jamal
jis ki taswir-e-jawani ek sarapa nur hai
mauj ek aTkheliyon se chheD karti hai wo aankh
jo azal se kaif-agin hai nashe mein chur hai
talib-e-didar ka bahta hai dil lahron ke sath
marifat ka zauq pata hai kanwal ke phul mein
har kali ki tah mein saman-e-latafat dekh kar
aab ki chadar mein ho jate hain poshida gunah
nur ka paikar bana dengi lakiren mauj ki
dagh-e-zulmat ko miTa degi ye aabi jalwa-gah
ghair-mumkin hai ki dil mein raushni paida na ho
bulbule pani ke hain insan mein wahdat ki shama
sadhuon ke waste updesh hai maujon ka rag
hath mein le kar khaDe hain dewta jannat ki shama
teri mauj-e-muztarib hai aur dil-e-pur-josh hai
yani betabi mein us ka muddaa mil jaega
halqa-e-girdab mein naqsh-e-haqiqat dekh kar
ghuncha-e-gul ki tarah dil ka kanwal khil jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.