ganga ka kinara
ḳhāmosh fazāoñ kā vo pur-kaif nazārā
vo nūr-e-sahar aur vo gangā kā kinārā
lahroñ kī kashākash meñ vo paanī kī ravānī
maujoñ ke talātum meñ vo bahtā huā dhārā
ik chādar-e-ābī pe zamurrad kī thī jhālar
yuuñ sabze se pur-zeb thā dariyā kā kinārā
us vaqt meñ aa kar kisī mahvash kā nahānā
vallāh ki firdaus-e-nazar kā vo nazārā
peshānī pe Tapkā thā ki ik naqsh-e-dil-ārā
yā husn kī qismat kā chamaktā thā sitārā
vo husn kī tasvīr vo ḳhūbī kā muraqqā
zāhid bhī jo dekhe na rahe zabt kā yaarā
jo uzv thā vo husn ke sāñche meñ Dhalā thā
thī us pe vo sarmast javānī sitam-ārā
vo husn ke dariyā kī thī ik māhī-e-be-tāb
chhīñToñ se vafā ke jise ḳhāliq ne nikhārā
uThte the qadam bār-e-nazar se ba-takalluf
go chashm-e-tamāshā ko na thā diid kā yaarā
āñchal ko sañbhāle hue andāz se aa.ī
karne lagī aa kar lab-e-dariyā kā nazārā
har samt jo paḌtī thiiñ nigāheñ mutavahhish
dil pā gayā merā jo nazar kā thā ishārā
ye dekh ke maiñ ho gayā sāhil se zarā duur
aur baiTh gayā baazū kā vaañ le ke sahārā
us maah ne har samt phir ik baar nazar kī
jab dekhā ki sunsān hai dariyā kā kinārā
lete hue añgḌā.ī kiyā zulfoñ ko barham
aur naaz se paanī meñ qadam us ne utārā
uThtī huī maujoñ meñ talātum huā barpā
soī huī lahroñ ne bhī sar apnā ubhārā
qadmoñ ko jamā.e hue aape ko sañbhāle
maujoñ se baham khel rahī thī vo dil-ārā
paanī meñ thā us vaqt vo rañgīnī kā aalam
goyā hai mai-e-nāb kā bahtā huā dhārā
kis tarah vo dariyā se nahā.e huī niklī
aage nahīñ 'qaisar' lab-e-iz.hār ko yaarā
bikhrī huī zulfoñ se vo girte hue qatre
TuuTe koī jis tarah sitāre pe sitārā
de sāqi-e-mehvash ki nahīñ zabt kā yaarā
mahrūmī-e-rindāñ tujhe kyūñkar hai gavārā
so.e bhī ye mai-ḳhvār to le le ke tirā naam
chauñke jo kabhī ḳhvāb se tujh ko hī pukārā
tujh ko tirī be-tāb nigāhoñ kī qasam hai
merī hī tarah dekh le mujh ko bhī ḳhudārā
merī hī nigāhoñ ne hasīñ tujh ko banāyā
merī hī mohabbat ne tirā husn nikhārā
KHamosh fazaon ka wo pur-kaif nazara
wo nur-e-sahar aur wo ganga ka kinara
lahron ki kashakash mein wo pani ki rawani
maujon ke talatum mein wo bahta hua dhaara
ek chadar-e-abi pe zamurrad ki thi jhaalar
yun sabze se pur-zeb tha dariya ka kinara
us waqt mein aa kar kisi mahwash ka nahana
wallah ki firdaus-e-nazar ka wo nazara
peshani pe Tapka tha ki ek naqsh-e-dil-ara
ya husn ki qismat ka chamakta tha sitara
wo husn ki taswir wo KHubi ka muraqqa
zahid bhi jo dekhe na rahe zabt ka yara
jo uzw tha wo husn ke sanche mein Dhala tha
thi us pe wo sarmast jawani sitam-ara
wo husn ke dariya ki thi ek mahi-e-be-tab
chhinTon se wafa ke jise KHaliq ne nikhaara
uThte the qadam bar-e-nazar se ba-takalluf
go chashm-e-tamasha ko na tha did ka yara
aanchal ko sanbhaale hue andaz se aai
karne lagi aa kar lab-e-dariya ka nazara
har samt jo paDti thin nigahen mutawahhish
dil pa gaya mera jo nazar ka tha ishaara
ye dekh ke main ho gaya sahil se zara dur
aur baiTh gaya bazu ka wan le ke sahaara
us mah ne har samt phir ek bar nazar ki
jab dekha ki sunsan hai dariya ka kinara
lete hue angDai kiya zulfon ko barham
aur naz se pani mein qadam us ne utara
uThti hui maujon mein talatum hua barpa
soi hui lahron ne bhi sar apna ubhaara
qadmon ko jamae hue aape ko sanbhaale
maujon se baham khel rahi thi wo dil-ara
pani mein tha us waqt wo rangini ka aalam
goya hai mai-e-nab ka bahta hua dhaara
kis tarah wo dariya se nahae hui nikli
aage nahin 'qaisar' lab-e-izhaar ko yara
bikhri hui zulfon se wo girte hue qatre
TuTe koi jis tarah sitare pe sitara
de saqi-e-mehwash ki nahin zabt ka yara
mahrumi-e-rindan tujhe kyunkar hai gawara
soe bhi ye mai-KHwar to le le ke tera nam
chaunke jo kabhi KHwab se tujh ko hi pukara
tujh ko teri be-tab nigahon ki qasam hai
meri hi tarah dekh le mujh ko bhi KHudara
meri hi nigahon ne hasin tujh ko banaya
meri hi mohabbat ne tera husn nikhaara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.