ganga ke kinare
jab ġham kā añdherā chhātā hai
jab duniyā se ghabrātī huuñ
dil merā jab bhar aatā hai
jab yās-zada ho jaatī huuñ
ḳhud paañv mirā uTh jaatā hai
gangā ke kināre aatī huuñ
ye us kī chamak motī kī laḌī
ye us kī fazā billor-numā
ye us kī damak mar-mar jaisī
ye us kī sapedī nūr-numā
ye us kī jhalak chāñdī sī jaḌī
ye us kī tajallī tūr-numā
ye us kī mahak phūloñ meñ basī
ye us kī nigāheñ hūr-numā
ye halke-halke kuchh naġhme
jo nāzuk qatre gaate haiñ
ye saaf achhūte kuchh shīshe
jo maujoñ ko chamkāte haiñ
ye narm jhakole paanī ke
jo lahroñ meñ bal khāte haiñ
ye sard havāoñ ke jhoñke
jo gangā meñ lahrāte haiñ
karte haiñ ajab hairān mujhe
hai ruuh meñ paidā kaifiyyat
ho jaate haiñ sākin sab jazbe
hai qalb kī sākit ab hālat
uThtī haiñ jo maujeñ iThlā ke
hotī hai nazar ko ik hairat
chalte haiñ jo paanī ke jhāle
baḌhtī hai tabī.at kī hasrat
din-rāt hī kyoñ sargarm-e-amal
kyoñ chupke-chupke gaatī hai
kyoñ dil meñ machī hai ye halchal
kyoñ halke-halke aatī hai
chitvan meñ paḌe haiñ lākhoñ bal
kis soch meñ Duubī jaatī hai
chhā.e haiñ udāsī ke bādal
jazbāt meñ lahreñ khātī hai
kyā raaz hai tere dil meñ nihāñ
aa apnā haal sunā gangā
siine meñ hai maḳhfī ġham kā dhuāñ
kuchh apnā raaz batā gangā
hai raag tirā bulbul kī fuġhāñ
phir ġham kī taan lagā gangā
kar mujh ko zarā mad.hosh-e-bayāñ
phir chupke-chupke gā gangā
jo dard hai mere dil meñ nihāñ
kyā is kā huā kuchh tujh pe asar
siine meñ jo sho.ale haiñ maḳhfī
kyā in kā haal khulā tujh par
jo aag hai mere dil meñ lagī
kyā is kā uḌā hai koī sharar
jo dard jigar meñ hai mere
kyā is se tū bhī huī muztar
aa apne vatan kī izzat par
kuchh ashk-e-yās bahā.eñ ham
aa hind kī shām-e-hasrat par
ik sham.a-e-dard jalā.eñ ham
aa apnī shikasta qismat par
ro-ro ke sab ko rulā.eñ ham
aa qaum kī qabr-e-vīrāñ par
do aañsū mil ke chaḌhā.eñ ham
jab gham ka andhera chhata hai
jab duniya se ghabraati hun
dil mera jab bhar aata hai
jab yas-zada ho jati hun
KHud panw mera uTh jata hai
ganga ke kinare aati hun
ye us ki chamak moti ki laDi
ye us ki faza billor-numa
ye us ki damak mar-mar jaisi
ye us ki sapedi nur-numa
ye us ki jhalak chandi si jaDi
ye us ki tajalli tur-numa
ye us ki mahak phulon mein basi
ye us ki nigahen hur-numa
ye halke-halke kuchh naghme
jo nazuk qatre gate hain
ye saf achhute kuchh shishe
jo maujon ko chamkate hain
ye narm jhakole pani ke
jo lahron mein bal khate hain
ye sard hawaon ke jhonke
jo ganga mein lahraate hain
karte hain ajab hairan mujhe
hai ruh mein paida kaifiyyat
ho jate hain sakin sab jazbe
hai qalb ki sakit ab haalat
uThti hain jo maujen iThla ke
hoti hai nazar ko ek hairat
chalte hain jo pani ke jhaale
baDhti hai tabiat ki hasrat
din-raat hi kyon sargarm-e-amal
kyon chupke-chupke gati hai
kyon dil mein machi hai ye halchal
kyon halke-halke aati hai
chitwan mein paDe hain lakhon bal
kis soch mein Dubi jati hai
chhae hain udasi ke baadal
jazbaat mein lahren khati hai
kya raaz hai tere dil mein nihan
aa apna haal suna ganga
sine mein hai maKHfi gham ka dhuan
kuchh apna raaz bata ganga
hai rag tera bulbul ki fughan
phir gham ki tan laga ganga
kar mujh ko zara madhosh-e-bayan
phir chupke-chupke ga ganga
jo dard hai mere dil mein nihan
kya is ka hua kuchh tujh pe asar
sine mein jo shoale hain maKHfi
kya in ka haal khula tujh par
jo aag hai mere dil mein lagi
kya is ka uDa hai koi sharar
jo dard jigar mein hai mere
kya is se tu bhi hui muztar
aa apne watan ki izzat par
kuchh ashk-e-yas bahaen hum
aa hind ki sham-e-hasrat par
ek shama-e-dard jalaen hum
aa apni shikasta qismat par
ro-ro ke sab ko rulaen hum
aa qaum ki qabr-e-viran par
do aansu mil ke chaDhaen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.