ganna
halva rabḌī aur miThā.ī
bantī hai kis chiiz se bhaa.ī
bachcho koī tum se pūchhe
tab kyā tum ḳhāmosh rahoge
kuchh to us ko batlāoge
varna buddhū kahlāoge
chup hargiz mat rahnā bachcho
tum us se ye kahnā bachcho
halva yā koī mīThī shai
shakkar yā guḌ se bantī hai
aur ye donoñ chīzeñ ham ko
ganne se miltī haiñ bachcho
halwa rabDi aur miThai
banti hai kis chiz se bhai
bachcho koi tum se puchhe
tab kya tum KHamosh rahoge
kuchh to us ko batlaoge
warna buddhu kahlaoge
chup hargiz mat rahna bachcho
tum us se ye kahna bachcho
halwa ya koi miThi shai
shakkar ya guD se banti hai
aur ye donon chizen hum ko
ganne se milti hain bachcho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.