gar tum mujhe pahchan lo
maiñ ḳhudā kī taḳhlīq karda
ik aisī nazm huuñ
jis kī naġhmagī aur tarannum
ruuh ke tāroñ
meñ ravāñ-davāñ
tumhārī fikr ke
pākīza lams se
jilā paa.e
magar tum
jism ke jañgal
meñ ulajh kar
haivān ban ga.e ho
aur ruuh ke āhañg
se mahrūm rah kar
nahīñ jānte
ki ḳhudā ne is jism
meñ hī malfūf karke
tumheñ navāzā
mohabbat ke ulūhī saroñ se
gar tum mujhe pahchān lo
to is zamīñ par
misl-e-jannat
apne ham-nashīñ
ik huur paao
magar ye mumkin jabhī thā ki tum
apnī ruuh ko paak rakhte
sarshār rahte
main KHuda ki taKHliq karda
ek aisi nazm hun
jis ki naghmagi aur tarannum
ruh ke taron
mein rawan-dawan
tumhaari fikr ke
pakiza lams se
jila pae
magar tum
jism ke jangal
mein ulajh kar
haiwan ban gae ho
aur ruh ke aahang
se mahrum rah kar
nahin jaante
ki KHuda ne is jism
mein hi malfuf karke
tumhein nawaza
mohabbat ke uluhi saron se
gar tum mujhe pahchan lo
to is zamin par
misl-e-jannat
apne ham-nashin
ek hur pao
magar ye mumkin jabhi tha ki tum
apni ruh ko pak rakhte
sarshaar rahte
- Book : Word File
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.