gar TuT gae to haar gae
jab mere vatan kī galiyoñ meñ
zulmat ne pañkh pasāre the
aur raat ke kaale bādal ne
har shahr meñ Derā Daalā thā
jab bastī bastī dahak uThī
yuuñ lagtā thā sab raakh huā
yuuñ lagtā thā mahshar hai bapā
aur raat ke zālim saa.e se
bachne kā koī yaarā bhī na thā
sadiyoñ meñ tarāshā thā jis ko
insān ke anthak hāthoñ ne
tahzīb ke is gahvāre meñ
har phuul dahaktā sho.ala thā
jab naam ḳhud īñdhan kī tarah
bhaTTī meñ jalāyā jaane lagā
aur nek ḳhudā ke sab bande
mardūd-e-haram Thahrā.e ga.e
jab ḳhuun kī holī rasm banī
aur maqtal-gāheñ aam huiiñ
barbariyat vahshat fan Thahrī
is fan kī bazmeñ aam huiiñ
jab shauhar beTe bhaa.ī pidar
sab nām-e-ḳhudā ke kaam aa.e
āvāz thī ik insān kī bhī
is shor ke bīhaḌ jangal meñ
jo miTne ko tayyār na thī
jo zehnoñ ko garmāti rahī
jo chhalnī jism se kahtī rahī
uTh haath baḌhā hāthoñ ko pakaḌ
lākhoñ haiñ yahāñ tere jaise
is jang ko jaarī rakhnā hai
gar TuuT ga.e to haar ga.e
jab mere watan ki galiyon mein
zulmat ne pankh pasare the
aur raat ke kale baadal ne
har shahr mein Dera Dala tha
jab basti basti dahak uThi
yun lagta tha sab rakh hua
yun lagta tha mahshar hai bapa
aur raat ke zalim sae se
bachne ka koi yara bhi na tha
sadiyon mein tarasha tha jis ko
insan ke anthak hathon ne
tahzib ke is gahware mein
har phul dahakta shoala tha
jab nam KHud indhan ki tarah
bhaTTi mein jalaya jaane laga
aur nek KHuda ke sab bande
mardud-e-haram Thahrae gae
jab KHun ki holi rasm bani
aur maqtal-gahen aam huin
barbariyat wahshat fan Thahri
is fan ki bazmen aam huin
jab shauhar beTe bhai pidar
sab nam-e-KHuda ke kaam aae
aawaz thi ek insan ki bhi
is shor ke bihaD jangal mein
jo miTne ko tayyar na thi
jo zehnon ko garmati rahi
jo chhalni jism se kahti rahi
uTh hath baDha hathon ko pakaD
lakhon hain yahan tere jaise
is jang ko jari rakhna hai
gar TuT gae to haar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.