gard
apnī manzil kī taraf
muzmahil andāz se chaltā huā
maiñ jā rahā thā
thī ḳhabar kuchh bhī nahīñ
dhuup ke Dhalte hī parchhā.īñ mirī
saath merā chhoḌ kar
aage mire ho jā.egī
be-nūr rāhoñ meñ akelā
gard ko uḌtā huā
maiñ dekhtā rah jā.ūñgā
apni manzil ki taraf
muzmahil andaz se chalta hua
main ja raha tha
thi KHabar kuchh bhi nahin
dhup ke Dhalte hi parchhain meri
sath mera chhoD kar
aage mere ho jaegi
be-nur rahon mein akela
gard ko uDta hua
main dekhta rah jaunga
- Book : Khayal Darya (Nazmein) (Pg. 42)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Arshia Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.