gard-baad
bagūlā
ḳhāk-zāda farsh uftāda
havā jārūb kartī hai to us kā jism Dhaltā hai
safar kī gardisheñ saudā-e-bātin muntashir socheñ
hayūle sā bagūlā
be-shabāhat qais-zāda
shahr kī galiyoñ meñ chakrātā hai
ḳhud maiñ chīḳhtā pal meñ ka.ī qarnoñ ke bal khātā hai
gard zard kā jhūlā
bagūlā
hijr-zāda balki hijrat-zād
sahrā se abhī bastī meñ aayā thā
Dare sahme hue logoñ kī āñkheñ hashr-basta thiiñ
abhī do-chār galiyāñ tai na ho pā.īñ
ḳham-o-pech us kī rah meñ aa.e
zarre kasmasā.e
jism ke a.azā jhaḌe
āhista āhista uḌaan andoh meñ badlī
aur ab logoñ ke qadmoñ meñ koī vāmāñda-gard
be-kināra fatāda hai
fardā kī dhun meñ koī ho bas ik hayūlā hai
mire bātin meñ jo kuchh pech khātā hai
hayūlā yā bagūlā hai
maiñ paanī aur miTTī se bahut Dartā huuñ
hijrat se guzartā huuñ
ubhartā huuñ bikhartā huuñ
bagula
KHak-zada farsh uftada
hawa jarub karti hai to us ka jism Dhalta hai
safar ki gardishen sauda-e-baatin muntashir sochen
hayule sa bagula
be-shabahat qais-zada
shahr ki galiyon mein chakraata hai
KHud main chiKHta pal mein kai qarnon ke bal khata hai
gard zard ka jhula
bagula
hijr-zada balki hijrat-zad
sahra se abhi basti mein aaya tha
Dare sahme hue logon ki aankhen hashr-basta thin
abhi do-chaar galiyan tai na ho pain
KHam-o-pech us ki rah mein aae
zarre kasmasae
jism ke aaza jhaDe
aahista aahista uDan andoh mein badli
aur ab logon ke qadmon mein koi wamanda-gard
be-kinara fatada hai
farda ki dhun mein koi ho bas ek hayula hai
mere baatin mein jo kuchh pech khata hai
hayula ya bagula hai
main pani aur miTTi se bahut Darta hun
hijrat se guzarta hun
ubharta hun bikharta hun
- Book : Sitarah Saaz (Pg. 16)
- Author : Akhtar Usman
- Publication : Ahbaab Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.