gard-e-karwan
ham na hoñge tum na hoge yaad ik taḌpā.egī
rāste meñ sirf gard-e-kārvāñ rah jā.egī
mere aañsū kah rahe haiñ jo kahānī vo suno
jo sunātī hai ye dariyā kī ravānī vo suno
lahr tanhā ek din sāhil se sar Takrā.egī
rāste meñ sirf gard-e-kārvāñ rah jā.egī
ek duuje ko na pahchāneñ to jīvan kuchh nahīñ
ek hī chehra nazar aa.e to darpan kuchh nahīñ
ek din is aa.ine se ye nazar Takrā.egī
rāste meñ sirf gard-e-kārvāñ rah jā.egī
be-ruḳhī kī ibtidā aur intihā kuchh bhī nahīñ
bevafā.ī ek jhoñke ke sivā kuchh bhī nahīñ
zulf ko jitnā lapeToge bikhartī jā.egī
rāste meñ sirf gard-e-kārvāñ rah jā.egī
hai ġhalat-fahmī bahut sadma hai is ik baat kā
jab na hogī sham.a tab ehsās hogā raat kā
har taraf hogā añdherā zindagī ghabrā.egī
rāste meñ sirf gard-e-kārvāñ rah jā.egī
ham na hoñge tum na hoge yaad ik taḌpā.egī
rāste meñ sirf gard-e-kārvāñ rah jā.egī
man kī āñkheñ khol kar gar jāgtā maalī rahe
phir guloñ se baaġh apnā kis tarah ḳhālī rahe
mahak varna kauḌiyoñ ke bhaav meñ bik jā.egī
rāste meñ sirf gard-e-kārvāñ rah jā.egī
hum na honge tum na hoge yaad ek taDpaegi
raste mein sirf gard-e-karwan rah jaegi
mere aansu kah rahe hain jo kahani wo suno
jo sunati hai ye dariya ki rawani wo suno
lahr tanha ek din sahil se sar Takraegi
raste mein sirf gard-e-karwan rah jaegi
ek duje ko na pahchanen to jiwan kuchh nahin
ek hi chehra nazar aae to darpan kuchh nahin
ek din is aaine se ye nazar Takraegi
raste mein sirf gard-e-karwan rah jaegi
be-ruKHi ki ibtida aur intiha kuchh bhi nahin
bewafai ek jhonke ke siwa kuchh bhi nahin
zulf ko jitna lapeToge bikharti jaegi
raste mein sirf gard-e-karwan rah jaegi
hai ghalat-fahmi bahut sadma hai is ek baat ka
jab na hogi shama tab ehsas hoga raat ka
har taraf hoga andhera zindagi ghabraegi
raste mein sirf gard-e-karwan rah jaegi
hum na honge tum na hoge yaad ek taDpaegi
raste mein sirf gard-e-karwan rah jaegi
man ki aankhen khol kar gar jagta mali rahe
phir gulon se bagh apna kis tarah KHali rahe
mahak warna kauDiyon ke bhaw mein bik jaegi
raste mein sirf gard-e-karwan rah jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.