gard-e-rah
phir mire ehsās ne
mujh ko
uḌā kar saath apne
ye kahāñ par lā ke chhoḌā
ajnabī is shahr meñ
lagtā hai jaise
saikḌoñ afrād
mere ham-navā va ham-qadam ho kar
parā.e shahr meñ
merī tarah hī
rāste kī gard ban kar uḌ rahe haiñ
phir mere ehsas ne
mujh ko
uDa kar sath apne
ye kahan par la ke chhoDa
ajnabi is shahr mein
lagta hai jaise
saikDon afrad
mere ham-nawa wa ham-qadam ho kar
parae shahr mein
meri tarah hi
raste ki gard ban kar uD rahe hain
- Book : Khayal Darya (Nazmein) (Pg. 74)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Arshia Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.