gardish
sarāpā
aag kā
miTTī ke paikar ko ghulā.e jā rahā hai
zamīñ ke jism kā saaya
ḳhalāoñ se palaT kar
usī ke apne aadhe jism ko har lamha kaalā kar rahā hai
yahī jaadū musallat hai azal se
ka.ī pagDanDiyoñ kā jaal sā phailā huā hai
guzargāhoñ ke kuchh shaffāf kuchh mauhūm ḳhāke
hameñ garm-e-safar rakkhe hue haiñ
sarāpā aag kā
sarapa
aag ka
miTTi ke paikar ko ghulae ja raha hai
zamin ke jism ka saya
KHalaon se palaT kar
usi ke apne aadhe jism ko har lamha kala kar raha hai
yahi jadu musallat hai azal se
kai pagDanDiyon ka jal sa phaila hua hai
guzargahon ke kuchh shaffaf kuchh mauhum KHake
hamein garm-e-safar rakkhe hue hain
sarapa aag ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.