allāh miyāñ
paanī barsā do
taptī garmī duur bhagā do
maiñ ik mazdūran kā bachcha
bholā-bhālā bilkul sachchā
kitnā kam-kam maañg rahā huuñ
achchhā mausam maañg rahā huuñ
ūñche bangle achchhe khāne
mere ghar chāval ke daane
ek ghaḌā aur ek chatā.ī
kuchh chamche aur ek kaḌhā.ī
sūkhe lab aur āñkheñ paanī
rut bhejo tum ḳhuub suhānī
ham mausam meñ khone vaale
thoḌe se ḳhush hone vaale
bijlī pañkhā kyā jāneñ ham
bas ik tum ko pahchāneñ ham
allāh miyāñ
bāñheñ phailā do
bas thoḌā paanī barsā do
allah miyan
pani barsa do
tapti garmi dur bhaga do
main ek mazduran ka bachcha
bhola-bhaala bilkul sachcha
kitna kam-kam mang raha hun
achchha mausam mang raha hun
unche bangle achchhe khane
mere ghar chawal ke dane
ek ghaDa aur ek chatai
kuchh chamche aur ek kaDhai
sukhe lab aur aankhen pani
rut bhejo tum KHub suhani
hum mausam mein khone wale
thoDe se KHush hone wale
bijli pankha kya jaanen hum
bas ek tum ko pahchanen hum
allah miyan
banhen phaila do
bas thoDa pani barsa do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.