gharib-KHane mein
ḳhudā kī qudrat vo naak apnī baḌe gharāne meñ ghis ga.e haiñ
jo aqrabā se akaḌ rahe the vo samdhiyāne meñ ghis ga.e haiñ
hamāre ghar tiin roz rah kar chale ga.e vo black-beauty
magar kam-az-kam pachās sābun ġharīb-ḳhāne meñ ghis ga.e haiñ
milī hai jab bhī unheñ vazārat assembly ho ga.ī muattal
hamārī millat ke rahnumā to halaf uThāne meñ ghis ga.e haiñ
jo tere vālid ne merī shādī pe ek joḌī diye the juute
vo tere maike kī shāh-rāhoñ pe aane jaane meñ ghis ga.e haiñ
sahar ko uThtī nahīñ haiñ begam baġhair tabla baġhair sargam
hamāre ghar ke tamām bartan unheñ jagāne meñ ghis ga.e haiñ
mushā.ere meñ sunā.ī ham ne jo DheḌh-sau sher kī musaddas
bahut se shā.er to rakkhe rakkhe hī shāmiyāne meñ ghis ga.e haiñ
KHuda ki qudrat wo nak apni baDe gharane mein ghis gae hain
jo aqraba se akaD rahe the wo samdhiyane mein ghis gae hain
hamare ghar tin roz rah kar chale gae wo black-beauty
magar kam-az-kam pachas sabun gharib-KHane mein ghis gae hain
mili hai jab bhi unhen wazarat assembly ho gai muattal
hamari millat ke rahnuma to halaf uThane mein ghis gae hain
jo tere walid ne meri shadi pe ek joDi diye the jute
wo tere maike ki shah-rahon pe aane jaane mein ghis gae hain
sahar ko uThti nahin hain begam baghair tabla baghair sargam
hamare ghar ke tamam bartan unhen jagane mein ghis gae hain
mushaere mein sunai hum ne jo DheDh-sau sher ki musaddas
bahut se shaer to rakkhe rakkhe hi shamiyane mein ghis gae hain
- Book : No Problem (Pg. 83)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.