gharib naujawan
sarmāya-dār duniyā
hangāma-bār duniyā
bā-iḳhtiyār duniyā
nafrat-shi.ār duniyā
ik bad-nasīb huuñ maiñ
ya.anī ġharīb huuñ maiñ
har-dam sañvarne vaalo
phūloñ pe marne vaalo
kāñToñ se Darne vaalo
bach kar guzarne vaalo
ik bad-nasīb huuñ maiñ
ya.anī ġharīb huuñ maiñ
aish-o-tarab ke bando
jām-o-subū ko puujo
rātoñ ko din banāo
kyoñ merā haal pūchho
ik bad-nasīb huuñ maiñ
ya.anī ġharīb huuñ maiñ
sab muskurā rahe haiñ
charke lagā rahe haiñ
taskīn pā rahe haiñ
kis ko banā rahe haiñ
ik bad-nasīb huuñ maiñ
ya.anī ġharīb huuñ maiñ
hosh-o-ḳhirad se haarā
dīvāngī ko pyārā
nākāmiyoñ kā maarā
be-ās be-sahārā
ik bad-nasīb huuñ maiñ
ya.anī ġharīb huuñ maiñ
tūfāñ meñ bahne vaalā
har jabr sahne vaalā
kuchh bhī na kahne vaalā
ḳhud.dār rahne vaalā
ik bad-nasīb huuñ maiñ
ya.anī ġharīb huuñ maiñ
har dil kī ġham-gusārī
har ġham pe ashk-bārī
ehsās kā bhikārī
ehsās kā pujārī
ik bad-nasīb huuñ maiñ
ya.anī ġharīb huuñ maiñ
merī javāñ umīdeñ
ḳhvāb-e-jināñ umīdeñ
hoñ kāmrāñ umīdeñ
aisī kahāñ umīdeñ
ik bad-nasīb huuñ maiñ
ya.anī ġharīb huuñ maiñ
ye chāñdnī ye taare
ye scene ye nazāre
al-qissa aish saare
mujh se raheñ kināre
ik bad-nasīb huuñ maiñ
ya.anī ġharīb huuñ maiñ
ye ḳhush-gavār sub.heñ
ye kaif-bār maujeñ
ye pī kahāñ kī jāpeñ
sāz-e-tarab na chheḌeñ
ik bad-nasīb huuñ maiñ
ya.anī ġharīb huuñ maiñ
ye kaun gā rahā hai
aalam pe chhā rahā hai
be-ḳhud banā rahā hai
kuchh yaad aa rahā hai
ik bad-nasīb huuñ maiñ
ya.anī ġharīb huuñ maiñ
har taan dil-nashīñ hai
ma.asūm hai hasīñ hai
sad kausar āfrīñ hai
mere liye nahīñ hai
ik bad-nasīb huuñ maiñ
ya.anī ġharīb huuñ maiñ
sarmaya-dar duniya
hangama-bar duniya
ba-iKHtiyar duniya
nafrat-shiar duniya
ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main
har-dam sanwarne walo
phulon pe marne walo
kanTon se Darne walo
bach kar guzarne walo
ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main
aish-o-tarab ke bando
jam-o-subu ko pujo
raaton ko din banao
kyon mera haal puchho
ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main
sab muskura rahe hain
charke laga rahe hain
taskin pa rahe hain
kis ko bana rahe hain
ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main
hosh-o-KHirad se haara
diwangi ko pyara
nakaamiyon ka mara
be-as be-sahaara
ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main
tufan mein bahne wala
har jabr sahne wala
kuchh bhi na kahne wala
KHuddar rahne wala
ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main
har dil ki gham-gusari
har gham pe ashk-bari
ehsas ka bhikari
ehsas ka pujari
ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main
meri jawan umiden
KHwab-e-jinan umiden
hon kaamran umiden
aisi kahan umiden
ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main
ye chandni ye tare
ye scene ye nazare
al-qissa aish sare
mujh se rahen kinare
ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main
ye KHush-gawar subhen
ye kaif-bar maujen
ye pi kahan ki japen
saz-e-tarab na chheDen
ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main
ye kaun ga raha hai
aalam pe chha raha hai
be-KHud bana raha hai
kuchh yaad aa raha hai
ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main
har tan dil-nashin hai
masum hai hasin hai
sad kausar aafrin hai
mere liye nahin hai
ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.