gharibon ka KHuda koi nahin
gharibon ka KHuda koi nahin
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
ek din thī dopahar kī saḳht garmī āshkār
dhuup kī shiddat thī misl-e-nār-e-dozaḳh qahr-bār
dāmanoñ meñ aag le kar thī davāñ bād-e-sumūm
thartharāhaT thī fazā meñ misl-e-mauj-e-sho.ala-bār
āsmāñ se sho'le girte the jhulastī thī zamīñ
garmī-e-roz-e-qayāmat kā namūna āshkār
garm jhoñke chal rahe the thiiñ havā kī yūrisheñ
tund sho'le surḳh zarre uḌ rahe the bār-bār
har kisī kī thā zabāñ par al-hafīz-o-al-ġhiyās
chilchilātī dhuup se thā zarra zarra be-qarār
rāste suune paḌe the raah par koī na thā
chal rahī thī har taraf lū aur bashar koī na thā
haañ magar thā rickshaw vaalā ek sargarm-e-safar
jis ko ġhurbat kar rahī thī maut se sīna-sipar
jo nigāh-e-ahl-e-sarvat meñ haqīr-o-pā.emāl
zindagānī vaqf thī jis kī barā.e ahl-e-zar
jis kī duniyā faqr-o-fāqa jis kī qismat ranj-o-ġham
jabr-e-qudrat hī ne jis ko kar diyā be-bāl-o-par
ḳhuun ban ban kar pasīna har bun-e-mū se ravāñ
chaar paise ke liye jo ban gayā thā jānvar
be-niyāz-e-'aish-o-'ishrat āshnā-e-dard-o-ġham
ek musht-e-ustuḳhvāñ āshufta-rau bā-chashm-e-tar
us ghaḌī bhī muztarib thā rizq-koshī ke liye
aag meñ vo jal rahā thā apnī roTī ke liye
kyā batā.ūñ kyā mirī āñkhoñ ne dekhā phir samāñ
uḌ rahī haiñ qalb-e-sozāñ se mire chingāriyāñ
daf'atan Thokar lagī aur chalte chalte gir paḌā
murġh-e-bismil dam ke dam meñ ban gayā vo nīm-jāñ
dekhtā huuñ jā ke maiñ to ḳhaak kā ik Dher thā
muñh se bāhar thī zabāñ aur ḳhuun hoñToñ se ravāñ
marne vaale kī kisī hasrat meñ thiiñ āñkheñ khulī
uTh rahā thā paikar-e-be-jāñ se rah rah kar dhuāñ
chārasāz-o-dastgīr-e-be-kasāñ koī na thā
kaun hotā be navāoñ kā bhalā mātam-kunāñ
muflisoñ kā dahr meñ mushkil-kushā koī nahīñ
ai 'zakī' sach hai ġharīboñ kā ḳhudā koī nahīñ
ek din thi dopahar ki saKHt garmi aashkar
dhup ki shiddat thi misl-e-nar-e-dozaKH qahr-bar
damanon mein aag le kar thi dawan baad-e-sumum
thartharahaT thi faza mein misl-e-mauj-e-shoala-bar
aasman se sho'le girte the jhulasti thi zamin
garmi-e-roz-e-qayamat ka namuna aashkar
garm jhonke chal rahe the thin hawa ki yurishen
tund sho'le surKH zarre uD rahe the bar-bar
har kisi ki tha zaban par al-hafiz-o-al-ghiyas
chilchilati dhup se tha zarra zarra be-qarar
raste sune paDe the rah par koi na tha
chal rahi thi har taraf lu aur bashar koi na tha
han magar tha rickshaw wala ek sargarm-e-safar
jis ko ghurbat kar rahi thi maut se sina-sipar
jo nigah-e-ahl-e-sarwat mein haqir-o-paemal
zindagani waqf thi jis ki barae ahl-e-zar
jis ki duniya faqr-o-faqa jis ki qismat ranj-o-gham
jabr-e-qudrat hi ne jis ko kar diya be-baal-o-par
KHun ban ban kar pasina har bun-e-mu se rawan
chaar paise ke liye jo ban gaya tha jaanwar
be-niyaz-e-'aish-o-'ishrat aashna-e-dard-o-gham
ek musht-e-ustuKHwan aashufta-rau ba-chashm-e-tar
us ghaDi bhi muztarib tha rizq-koshi ke liye
aag mein wo jal raha tha apni roTi ke liye
kya bataun kya meri aankhon ne dekha phir saman
uD rahi hain qalb-e-sozan se mere chingariyan
daf'atan Thokar lagi aur chalte chalte gir paDa
murgh-e-bismil dam ke dam mein ban gaya wo nim-jaan
dekhta hun ja ke main to KHak ka ek Dher tha
munh se bahar thi zaban aur KHun honTon se rawan
marne wale ki kisi hasrat mein thin aankhen khuli
uTh raha tha paikar-e-be-jaan se rah rah kar dhuan
chaarasaz-o-dastgir-e-be-kasan koi na tha
kaun hota be nawaon ka bhala matam-kunan
muflison ka dahr mein mushkil-kusha koi nahin
ai 'zaki' sach hai gharibon ka KHuda koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.