garm hathon mein shaKH
in ke zehn
un kī purānī lakīroñ meñ
Duub rahe haiñ
vo apnī Dūbtī sāñsoñ ke
añdhere kamroñ meñ
haath paañv maar rahe haiñ
un kī soch kā zaḳhmī kohān
makkhiyoñ kī bhunbhunāhat se
larzīda hai
unheñ na.e butoñ se
nafrat hai
vo purāne butoñ kī parastish meñ
na.e paidā hone vaale
bachche kā galā
ghoñTnā chāhte haiñ
ki āzādī kī āvāz
is ke halq se nikal kar
un ke kapḌoñ ko
ujlā na kar de
vo ujle-pan kī peshānī se
Darte haiñ
ki vo purāne ḳhudāoñ kī
parastish meñ
apne aap ko bhuul ga.e haiñ
aur aane vaalā bachcha
sadiyoñ purāne
daraḳht kī Tahnī par baiThā
muskurāhaT kī jhilmilāhaT meñ
garm hāthoñ kī shāḳhoñ meñ
nahā rahā hai
in ke zehn
un ki purani lakiron mein
Dub rahe hain
wo apni Dubti sanson ke
andhere kamron mein
hath panw mar rahe hain
un ki soch ka zaKHmi kohan
makkhiyon ki bhunbhunahat se
larzida hai
unhen nae buton se
nafrat hai
wo purane buton ki parastish mein
nae paida hone wale
bachche ka gala
ghonTna chahte hain
ki aazadi ki aawaz
is ke halq se nikal kar
un ke kapDon ko
ujla na kar de
wo ujle-pan ki peshani se
Darte hain
ki wo purane KHudaon ki
parastish mein
apne aap ko bhul gae hain
aur aane wala bachcha
sadiyon purane
daraKHt ki Tahni par baiTha
muskurahaT ki jhilmilahaT mein
garm hathon ki shaKHon mein
naha raha hai
- Book : siip (Magzin) (Pg. 180)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.