garm pani
raushnī par dhuñd kī tah
aa.ine ke naqsh phīke
shīshe ke us paar ib.hām-e-mujarrad
khiḌkiyoñ par āñsuoñ kī baaḌh
mūrateñ hoñ sūratoñ se jaise aarī
pighle chehroñ se thī har tasvīr bhārī
aur sukūt
bojh ho goyā basārat par namī
khiḌkī khulte hī magar
bāñheñ phailā kar havā ne
baḌh ke āñkheñ chuum liiñ
ā.inoñ ke aañsū poñchhe
rañg dho.e
shīshe kī tar-dāmanī kā qatra qatra khīñch Daalā
khiḌkī khulte hī vo saarī dhuñd jaise
raqs kartī bādaloñ kī or lapkī
muzmahil chādar nazar kī haTte haTte haT ga.ī
raushnī phir manzaroñ se paT ga.ī
raushni par dhund ki tah
aaine ke naqsh phike
shishe ke us par ibham-e-mujarrad
khiDkiyon par aansuon ki baDh
muraten hon suraton se jaise aari
pighle chehron se thi har taswir bhaari
aur sukut
bojh ho goya basarat par nami
khiDki khulte hi magar
banhen phaila kar hawa ne
baDh ke aankhen chum lin
aainon ke aansu ponchhe
rang dhoe
shishe ki tar-damani ka qatra qatra khinch Dala
khiDki khulte hi wo sari dhund jaise
raqs karti baadalon ki or lapki
muzmahil chadar nazar ki haTte haTte haT gai
raushni phir manzaron se paT gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.