garmi ka zamana
garmī kā hai zamāna
sardī huī ravāna
āñkheñ dikhā.e sūraj
tan-man jalā.e sūraj
paanī havā huā hai
jañgal jalā huā hai
hotī hai saa.eñ saa.eñ
ġhusse meñ haiñ havā.eñ
uThte haiñ yuuñ bagūle
jaise gagan ko chhū le
tītar baTer tote
khā.eñ havā meñ ġhote
dhartī dahak rahī hai
miTTī sulag rahī hai
gir jaa.e jo zamīñ par
bhun jaa.e hai vo daana
garmī kā hai zamāna
sardī huī ravāna
mausam badal rahā hai
insāñ pighal rahā hai
utrā gale se muflar
muñh tak rahī hai chādar
tah ho ga.ī razā.ī
ḳhālī hai chārpā.ī
kambal sahj rakhī hai
malmal gale lagī hai
pañkhoñ ko jhal rahe haiñ
ab fan chal rahe haiñ
heater se ḳhauf khā.eñ
cōlar chalā.e jaa.eñ
har shai badal rahī hai
kyā mard kyā zanānā
garmī kā hai zamāna
sardī huī ravāna
aatī hai yaad naanī
karte haiñ paanī paanī
sharbat kā daur aa.e
qulfī diloñ ko bhaa.e
tarbūz bik rahe haiñ
ḳharbūz bik rahe haiñ
dūkān koī khole
beche haiñ barf-gole
ghar ghar meñ ham ne dekhā
piite haiñ rūh-afzā
lassī kā bol-bālā
kaafī kā muñh hai kaalā
jis se mile hai ThanDak
us kā jahāñ divāna
garmī kā hai zamāna
sardī huī ravāna
garmi ka hai zamana
sardi hui rawana
aankhen dikhae suraj
tan-man jalae suraj
pani hawa hua hai
jangal jala hua hai
hoti hai saen saen
ghusse mein hain hawaen
uThte hain yun bagule
jaise gagan ko chhu le
titar baTer tote
khaen hawa mein ghote
dharti dahak rahi hai
miTTi sulag rahi hai
gir jae jo zamin par
bhun jae hai wo dana
garmi ka hai zamana
sardi hui rawana
mausam badal raha hai
insan pighal raha hai
utra gale se muflar
munh tak rahi hai chadar
tah ho gai razai
KHali hai chaarpai
kambal sahj rakhi hai
malmal gale lagi hai
pankhon ko jhal rahe hain
ab fan chal rahe hain
heater se KHauf khaen
coolar chalae jaen
har shai badal rahi hai
kya mard kya zanana
garmi ka hai zamana
sardi hui rawana
aati hai yaad nani
karte hain pani pani
sharbat ka daur aae
qulfi dilon ko bhae
tarbuz bik rahe hain
KHarbuz bik rahe hain
dukan koi khole
beche hain barf-gole
ghar ghar mein hum ne dekha
pite hain ruh-afza
lassi ka bol-baala
kafi ka munh hai kala
jis se mile hai ThanDak
us ka jahan diwana
garmi ka hai zamana
sardi hui rawana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.