garmi ki chhuTTiyan
mushkil se phir schōl na jaane ke din aa.e
be-fikrī se phir vaqt gañvāne ke din aa.e
phir raat ko chhup-chhup ke Darāne ke din aa.e
sahme hue logoñ ko banāne ke din aa.e
phir baiTh ke tabla sā bajāne ke din aa.e
phir laTe ke tanhā.ī meñ gaane ke din aa.e
har sub.h ko phir baaġh meñ jaane ke din aa.e
tū kah ke vo koyal ko chiḌhāne ke din aa.e
phir aam kā achār banāne ke din aa.e
phir chhup ke kahīñ kairiyāñ khāne ke din aa.e
kar dī thī kitāboñ ne hamārī to zabāñ band
ghar bhar meñ phir ik shor machāne ke din aa.e
vo din ga.e ḳhush rahne ko jab bhūle hue the
hañsne ke din aa.e haiñ hañsāne ke din aa.e
ab vaqt kā ronā nahīñ ab vaqt bahut hai
har kaam meñ phir der lagāne ke din aa.e
ghar par bhī the ghere hue schōl ke dhande
āzādī se ab mauj uḌāne ke din aa.e
bahnoñ ko satāyā kabhī bhaa.ī ko chiḌhāyā
laḌne ke din aa.e haiñ laḌāne ke din aa.e
phir phūloñ se ladne lagā har bele kā puurā
paudoñ meñ se phir phuul churāne ke din aa.e
khole ga.e phir gard se lipTe hue parde
dopahar ko phir raat banāne ke din aa.e
phir lūTeñge ham chāñdnī rātoñ kī bahāreñ
phir chhat pe palangoñ ke bichhāne ke din aa.e
kyoñ ab bhī pasīne meñ sharābor ho 'afsar'
nadī pe kahīñ jā ke nahāne ke din aa.e
mushkil se phir school na jaane ke din aae
be-fikri se phir waqt ganwane ke din aae
phir raat ko chhup-chhup ke Darane ke din aae
sahme hue logon ko banane ke din aae
phir baiTh ke tabla sa bajaane ke din aae
phir laTe ke tanhai mein gane ke din aae
har subh ko phir bagh mein jaane ke din aae
tu kah ke wo koyal ko chiDhane ke din aae
phir aam ka achaar banane ke din aae
phir chhup ke kahin kairiyan khane ke din aae
kar di thi kitabon ne hamari to zaban band
ghar bhar mein phir ek shor machane ke din aae
wo din gae KHush rahne ko jab bhule hue the
hansne ke din aae hain hansane ke din aae
ab waqt ka rona nahin ab waqt bahut hai
har kaam mein phir der lagane ke din aae
ghar par bhi the ghere hue school ke dhande
aazadi se ab mauj uDane ke din aae
bahnon ko sataya kabhi bhai ko chiDhaya
laDne ke din aae hain laDane ke din aae
phir phulon se ladne laga har bele ka pura
paudon mein se phir phul churane ke din aae
khole gae phir gard se lipTe hue parde
dopahar ko phir raat banane ke din aae
phir luTenge hum chandni raaton ki bahaaren
phir chhat pe palangon ke bichhane ke din aae
kyon ab bhi pasine mein sharabor ho 'afsar'
nadi pe kahin ja ke nahane ke din aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.