gaurayya
bachpan meñ gaurayyā ko dekh kar lagtā thā
kaash maiñ gaurayyā hotī
ghar ke raushan-dān meñ rahne vaalī
jis ko sub.h sab se pahle añdherā chhoḌ kar jaatā
aur jis ke pañkh kī uḌaan gaañv kī had tak thī
tab khetoñ meñ zahr nahīñ boyā jaatā thā
barsoñ baad dekhā
a-c ke chakkar meñ raushan-dān nahīñ rahe
kirdār ke chakkar meñ ḳhāndān nahīñ rahe
āñgan kī jagah le lī
dining hall ne
gaurayyā apne jhunD ke saath dar-ba-dar ho ga.ī
railway isTeshnoñ ke tāroñ par
rāt-bhar baiThī rahtī hai
qatār meñ
musāfiroñ kī tarah
kisī Time travel kī train pakaḌne kī ummīd meñ
shāyad unheñ phir se
mil jaa.e koī āñgan
jahāñ bachchoñ ke haath kā girā daana
chunñe kā mile mauqa
phir se
chhoTe bachchoñ kī
nazmoñ aur kahāniyoñ meñ hī nahīñ
sapnoñ meñ bhī chahchahā.e
gaurayyā
bachpan mein gaurayya ko dekh kar lagta tha
kash main gaurayya hoti
ghar ke raushan-dan mein rahne wali
jis ko subh sab se pahle andhera chhoD kar jata
aur jis ke pankh ki uDan ganw ki had tak thi
tab kheton mein zahr nahin boya jata tha
barson baad dekha
a-c ke chakkar mein raushan-dan nahin rahe
kirdar ke chakkar mein KHandan nahin rahe
aangan ki jagah le li
dining hall ne
gaurayya apne jhunD ke sath dar-ba-dar ho gai
railway isTeshnon ke taron par
raat-bhar baiThi rahti hai
qatar mein
musafiron ki tarah
kisi Time trawel ki train pakaDne ki ummid mein
shayad unhen phir se
mil jae koi aangan
jahan bachchon ke hath ka gira dana
chunne ka mile mauqa
phir se
chhoTe bachchon ki
nazmon aur kahaniyon mein hi nahin
sapnon mein bhi chahchahae
gaurayya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.