gawahi
vo sīḌhī jo mire dil se
tumhāre dal ke gumbad par utartī hai
shikasta hai
vo khiḌkī jo tumhāre ghar meñ khultī hai
mirī pahchān aur makḌī ke jāloñ se aTī hai
zañg-ḳhurda hai
gavāhī de nahīñ sakte na do
lekin mirā ik kaam to kar do
mirī pahchān meñ uljhe hue makḌī ke sab jaale
mujhe de do
koī to ho jo mujh ko mere hone kī gavāhī de
wo siDhi jo mere dil se
tumhaare dal ke gumbad par utarti hai
shikasta hai
wo khiDki jo tumhaare ghar mein khulti hai
meri pahchan aur makDi ke jalon se aTi hai
zang-KHurda hai
gawahi de nahin sakte na do
lekin mera ek kaam to kar do
meri pahchan mein uljhe hue makDi ke sab jale
mujhe de do
koi to ho jo mujh ko mere hone ki gawahi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.