gawahi
mujhe witness box meñ talab kiyā jā chukā thā
maqtūl ke vurasā
aur dūsre logoñ kī nazreñ
mere chehre par jamī huī thiiñ
is liye ki maiñ is muqaddame kā
tanhā chashm-dīd gavāh thā
merī gavāhī qātil ko sazā-e-maut
yā umr-qaid kī sazā dilā saktī thī lekin
is se pahle ki mere hoñT hilte
judge ne mujhe ghūrte hue kahā
tum gavāhī nahīñ de sakte
tumhārī shahādat kī unglī kaTī huī hai
mujhe witness box mein talab kiya ja chuka tha
maqtul ke wurasa
aur dusre logon ki nazren
mere chehre par jami hui thin
is liye ki main is muqaddame ka
tanha chashm-did gawah tha
meri gawahi qatil ko saza-e-maut
ya umr-qaid ki saza dila sakti thi lekin
is se pahle ki mere honT hilte
judge ne mujhe ghurte hue kaha
tum gawahi nahin de sakte
tumhaari shahadat ki ungli kaTi hui hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 133)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.