gend
chalī aa luḌhaktī luḌhaktī chalī aa
mirī geñd tū baT ke paas aa jā
maiñ huuñ dauḌā aatā pakaḌne ko tere
Thahar jā bas ab haath aa jā tū mere
luḌhaktī hai kyā ab kahāñ chhoḌtā huuñ
tujhe aadhe raste se maiñ moḌtā huuñ
na paḌnā kahīñ gaare kīchaḌ meñ jā kar
ki ho jā.egī is meñ gandī sarāsar
nahīñ achchhe hote haiñ maile khilaune
mire haath ho jaate haiñ in se maile
chali aa luDhakti luDhakti chali aa
meri gend tu baT ke pas aa ja
main hun dauDa aata pakaDne ko tere
Thahar ja bas ab hath aa ja tu mere
luDhakti hai kya ab kahan chhoDta hun
tujhe aadhe raste se main moDta hun
na paDna kahin gare kichaD mein ja kar
ki ho jaegi is mein gandi sarasar
nahin achchhe hote hain maile khilaune
mere hath ho jate hain in se maile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.