geTu gire
ik thā geTū gire
us ke do mor the
ik kā kaalā thā sar
ik ke piile the par
daana khāte the vo
dum hilāte the vo
shaam ko din Dhale
apne ghar se chale
the baḌī lahr meñ
aa ga.e shahr meñ
kuchh vahāñ sair kī
kuchh yahāñ sair kī
TarTarāte hue
gaanā gaate hue
jab añdherā huā
geTū ghabrā gayā
dil meñ kahne lagā
ye hai kyā mājrā
ab tak aa.e nahīñ
jaane kyā vo kahīñ
rāsta kho ga.e
yā kahīñ so ga.e
aap jaatā huuñ maiñ
un ko laatā huuñ maiñ
bolī geTū kī maañ
tum chale ho kahāñ
chhoḌ do chhoḌ do
ḳhud hī ā.eñge vo
sar khujāte hue
dum hilāte hue
bolā geTū gire
mor donoñ mire
saḳht nādān haiñ
saḳht anjān haiñ
vo to Dar jā.eñge
ghuT ke mar jā.eñge
bolī geTū kī maañ
baat sun merī jaañ
tū hai geTū gire
tū unheñ chhoḌ de
dekhte dekhte
mor ghar aa ga.e
sar khujāte hue
dum hilāte hue
bole geTū miyāñ
bolo tum the kahāñ
itne chālāk ho
itne bebāk ho
phir jo jāoge tum
maar khāoge tum
us kī is baat se
mor ḳhush ho ga.e
par lage kholne
phir lage bolne
dum hilāne lage
gaanā gaane lage
ek tha geTu gire
us ke do mor the
ek ka kala tha sar
ek ke pile the par
dana khate the wo
dum hilate the wo
sham ko din Dhale
apne ghar se chale
the baDi lahr mein
aa gae shahr mein
kuchh wahan sair ki
kuchh yahan sair ki
TarTaraate hue
gana gate hue
jab andhera hua
geTu ghabra gaya
dil mein kahne laga
ye hai kya majra
ab tak aae nahin
jaane kya wo kahin
rasta kho gae
ya kahin so gae
aap jata hun main
un ko lata hun main
boli geTu ki man
tum chale ho kahan
chhoD do chhoD do
KHud hi aaenge wo
sar khujate hue
dum hilate hue
bola geTu gire
mor donon mere
saKHt nadan hain
saKHt anjaan hain
wo to Dar jaenge
ghuT ke mar jaenge
boli geTu ki man
baat sun meri jaan
tu hai geTu gire
tu unhen chhoD de
dekhte dekhte
mor ghar aa gae
sar khujate hue
dum hilate hue
bole geTu miyan
bolo tum the kahan
itne chaalak ho
itne bebak ho
phir jo jaoge tum
mar khaoge tum
us ki is baat se
mor KHush ho gae
par lage kholne
phir lage bolne
dum hilane lage
gana gane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.