ghas mein chhupe sanp
maiñ ghaas huuñ
harī-bharī ghaas
paanī mile to harī-bharī na mile to ghās-phūs
thoḌī nargisiyat kī ijāzat dījiye
are jab ugtī huuñ to kyā joban hotā hai mujh par
na.ī na.ī ghaas par sūraj kī kirneñ paḌtī haiñ to
andhoñ kī āñkhoñ meñ bhī tarāvat utar aatī hai janāb
aur haa.e vo taaza taaza ghaas kī ḳhushbū
par afsos jab der tak bārish na ho to piilī paḌ jaatī huuñ
magar dhuup pahle mujhe sonā aur phir kundan banā detī hai
zamīn par īstāda hazāroñ pahāḌiyoñ par merā hī rañg chaḌhā hotā hai
aañkh rakhne vaale kahte haiñ
sabze se Dhakī pahāḌiyāñ kitnī bhī hasīn hoñ
sone se Dhakī pahāḌiyoñ kī baat hī alag hai
lekin ye maiñ kyā baḌ hāñkne baiTh ga.ī
āmdan barsar-e-matlab maiñ sāñpoñ ke baare meñ kuchh kahnā chāhtī huuñ
saañp jo ghaas meñ chhup kirdār karte haiñ
ghaas se Dhake lawn baaġh aur park
karoḌoñ insānoñ ko taskīn dete haiñ
bachche ghaas par bhāgte dauḌte uchhalte kūdte aur loT-poT hote haiñ
javān mujh par chalte hue mohabbatoñ kā iz.hār aur iqrār karte haiñ
umr-rasīda log duur duur tak phaile sabze ko dekh kar
dil kī ghuTan aur ehsās-e-ziyāñ bhuul jaate haiñ
maiñ ḳhush hotī huuñ ki kisī ke kaam aa hī huuñ
lekin merī ḳhushī dukh aur sharmindagī meñ badal jaatī hai
jab mere andar chhupe hue saañp insānoñ ko Das lete haiñ
sochtī huuñ in sāñpoñ kā kyā ilaaj karūñ
sochtī huuñ in sāñpoñ kā koī ilaaj hai bhī yā nahīñ
sochtī huuñ saañp mujhī meñ to nahīñ chhupe
vo to zamīn ke kone kone meñ maujūd haiñ
us ke andar bhī us ke bāhar bhī
sochtī huuñ jis tezī se sāñpoñ kī ta.adād baḌh rahī hai
kal ye saarī zamīn par na chhā jaa.eñ
sochtī huuñ koī sailāb hī aa jaa.e jo unheñ bahā le jaa.e
phir ḳhayāl aatā hai ye bah kar jā.eñge kahāñ
āḳhir ek na ek din paanī utregā aur ye dobāra ḳhushkī par chaḌh ā.eñge
aur mere hī dāman meñ panāh le leñge
sochtī huuñ ḳhudā ne mujhe banāyā thā to unheñ kyuuñ banāyā
aur agar banāyā hī thā to un ke andar zahar kyuuñ bhar diyā
kyuuñ ho ga.e ye insān ke dushman
magar saare saañp to zahrīle nahīñ hote
aur kyā insānoñ ke andar bhī zahr nahīñ bhartā jā rahā hai ab
sochtī huuñ insān saañp se Dartā hai to
saañp bhī insān se Dartā hai
insān ne saañp meñ shaitān kī shakl dekhī thī
jis ne use jannat se nikalvā diyā thā
insān ke andar shaitān se barābar utarne kī talab rakh dī ga.ī hai
jahāñ kahīñ saañp ko dekhtā hai use mārne kī koshish kartā hai
saañp ko bhī insān ke us azlī-o-abdī irāde kī ḳhabar hai
isī liye to insān kī aahaT yā bū paate hī bhaag khaḌā hotā hai
ḳharābī to merī vaj.h se hotī hai
ghaas meñ chhupā saañp insān ko dekh kar bhāgtā hai
lekin insān use dekh nahīñ paatā aur nā-dānista us kā paañv saañp par paḌ jaatā hai
aur saañp apnī jaan bachāne ke liye use Das letā hai
yuuñ maiñ zarīya ban jaatī huuñ insān kī maut kā
mujhe apnā ye kirdār hargiz pasand nahīñ
sochtī huuñ insānoñ aur sāñpoñ ne aapas meñ laḌnā hī hai to
merī aaḌ meñ na laḌeñ
saḌkoñ par laḌeñ gharoñ ke andar laḌeñ
chaTyal maidānoñ meñ laḌeñ sahrāoñ meñ laḌeñ
phir ḳhayāl aatā hai in jag.hoñ par to pahle hī ghamsān kī laḌā.ī ho rahī hai
insān insān se laḌ rahā hai
aur us ne tarah tarah ke
mohlik kīmiyā.ī jauharī aur nafsiyātī hathiyār ījād kar liye haiñ
ek dūsre ko dukh dene aur mārne ke liye
sochtī huuñ kahīñ insānoñ ne marne kā shauq to nahīñ paal liyā
aur agar unhoñ ne marne hī kī Thaan lī hai
to maiñ kis chakkar meñ un kā ġham khā rahī huuñ
mujhe yahī fikr hai nā ki zindagī arboñ saal ke safar meñ insān tak pahuñchī hai
aur ab agar insānoñ ke hāthoñ insān tabāh ho ga.e
aur saath hī zamīn barbād ho ga.ī to meñ bhī maarī jā.ūñgī
zindagī hī ruḳhsat ho jā.egī zamīn se
phir ḳhayāl aatā hai maiñ to zindagī kī bahut ibtidā.ī sūrat huuñ
agar zindagī kā safar khoTā ho jaane kī is qadar fikr lāhiq hai mujhe
to insān jo zindagī kā afzal-tarīn namūna haiñ
vo ijtimā.ī ḳhud-kushī ke rāste par kyuuñ chal nikle haiñ
sāñpoñ se dushmanī nibāhte nibāhte ḳhud saañp kyuuñ ban ga.e haiñ
ḳhūb-sūrat aur be-zarar saañp nahīñ
zahrīle aur mohlik saañp jo ek dūsre ko Das rahe haiñ
aur kuchh insān to daulat aur tāqat sameT kar azhdahe ban ga.e haiñ
afsos to ye hai ki maare ziyāda-tar vo jā rahe haiñ jin kā koī qusūr nahīñ hotā
azdahoñ kī laḌā.ī meñ chhoTe-moTe saañp
makkhiyoñ aur chiyūñTiyoñ kī tarah pis kar rah jaate haiñ
sochtī huuñ kisī sailāb ne zamīn ko sāñpoñ se paak bhī kar diyā
to sāñpoñ kī tarah phaTkārte insānoñ se kyūñkar chhuTkārā hogā
isī liye soch soch kar chup ho rahtī huuñ
lekin ye chup andar hī andar mujhe khaa.e jaatī hai
dekhiye meñ piilī paḌtī jā rahī huuñ
hare-bhare sabze se rūkhā-sūkhā ghās-phūs bantī jā rahī huuñ
aur zamīn par sonā bikhartā jā rahā hai
pahāḌiyāñ sone se damak uThī haiñ
magar insān un se be-niyāz
kāġhzī sone kī talāsh meñ
ek dūsre kā galā kāTte hue
zamīn par maare maare phir rahe haiñ
kaash insān kāġhzī sone se nigāh uThā kar dekhte
ki jis saañp ko vo shaitān samajh kar mārne dauḌte haiñ
vo to hirs kī sūrat meñ us ke dil meñ jā baiThā hai
aur un ke apne hāthoñ kāġhaz ke chand TukḌoñ kī ḳhātir
nasl-e-insānī ko halāk karvā rahā hai
sochtī huuñ aag ugalte sāñpoñ kī tarah
kisī insān kī phunkār ne mujhe chiñgārī dikhā dī
to jañgal ke jañgal jal kar raakh ho jā.eñge
insān ko to apnī nau kī fikr nahīñ
vo zamīn par ābād zindagī kī dūsrī sūratoñ kī kyā parvā karegā
kaash use fursat hotī dekhne kī
ki jis ghās-phūs ko vo be-dhyānī meñ jilā Dāltā hai
vo zamīn kā libās hai
is zamīn kā jis ne use paalā thā
jo saarī zindagī kī tarah us kī bhī maañ hai
aur ghās-phūs ko jalā kar vo apnī maañ ko be-satr kar rahā hai
lekin maiñ ye kyā pakhān le baiThī huuñ
maiñ to apnā ta.āruf karā rahī thī
aur apne andar chhupe sāñpoñ kī baat kar rahī thī
aur chal paḌī sāñpoñ se insān kī taraf
insānoñ kī taraf jo sāñpoñ kī taraf chal rahe haiñ
vaise saañp bhī apne bachche khā jaatā hai
aur ab insān bhī apne bachche khā rahā hai
aur maiñ vahī ghaas
mahv-e-yās udaas
main ghas hun
hari-bhari ghas
pani mile to hari-bhari na mile to ghas-phus
thoDi nargisiyat ki ijazat dijiye
are jab ugti hun to kya joban hota hai mujh par
nai nai ghas par suraj ki kirnen paDti hain to
andhon ki aankhon mein bhi tarawat utar aati hai janab
aur hae wo taza taza ghas ki KHushbu
par afsos jab der tak barish na ho to pili paD jati hun
magar dhup pahle mujhe sona aur phir kundan bana deti hai
zamin par istada hazaron pahaDiyon par mera hi rang chaDha hota hai
aankh rakhne wale kahte hain
sabze se Dhaki pahaDiyan kitni bhi hasin hon
sone se Dhaki pahaDiyon ki baat hi alag hai
lekin ye main kya baD hankne baiTh gai
aamdan barsar-e-matlab main sanpon ke bare mein kuchh kahna chahti hun
sanp jo ghas mein chhup kirdar karte hain
ghas se Dhake lawn bagh aur park
karoDon insanon ko taskin dete hain
bachche ghas par bhagte dauDte uchhalte kudte aur loT-poT hote hain
jawan mujh par chalte hue mohabbaton ka izhaar aur iqrar karte hain
umr-rasida log dur dur tak phaile sabze ko dekh kar
dil ki ghuTan aur ehsas-e-ziyan bhul jate hain
main KHush hoti hun ki kisi ke kaam aa hi hun
lekin meri KHushi dukh aur sharmindagi mein badal jati hai
jab mere andar chhupe hue sanp insanon ko Das lete hain
sochti hun in sanpon ka kya ilaj karun
sochti hun in sanpon ka koi ilaj hai bhi ya nahin
sochti hun sanp mujhi mein to nahin chhupe
wo to zamin ke kone kone mein maujud hain
us ke andar bhi us ke bahar bhi
sochti hun jis tezi se sanpon ki tadad baDh rahi hai
kal ye sari zamin par na chha jaen
sochti hun koi sailab hi aa jae jo unhen baha le jae
phir KHayal aata hai ye bah kar jaenge kahan
aaKHir ek na ek din pani utrega aur ye dobara KHushki par chaDh aaenge
aur mere hi daman mein panah le lenge
sochti hun KHuda ne mujhe banaya tha to unhen kyun banaya
aur agar banaya hi tha to un ke andar zahar kyun bhar diya
kyun ho gae ye insan ke dushman
magar sare sanp to zahrile nahin hote
aur kya insanon ke andar bhi zahr nahin bharta ja raha hai ab
sochti hun insan sanp se Darta hai to
sanp bhi insan se Darta hai
insan ne sanp mein shaitan ki shakl dekhi thi
jis ne use jannat se nikalwa diya tha
insan ke andar shaitan se barabar utarne ki talab rakh di gai hai
jahan kahin sanp ko dekhta hai use marne ki koshish karta hai
sanp ko bhi insan ke us azli-o-abdi irade ki KHabar hai
isi liye to insan ki aahaT ya bu pate hi bhag khaDa hota hai
KHarabi to meri wajh se hoti hai
ghas mein chhupa sanp insan ko dekh kar bhagta hai
lekin insan use dekh nahin pata aur na-danista us ka panw sanp par paD jata hai
aur sanp apni jaan bachane ke liye use Das leta hai
yun main zariya ban jati hun insan ki maut ka
mujhe apna ye kirdar hargiz pasand nahin
sochti hun insanon aur sanpon ne aapas mein laDna hi hai to
meri aaD mein na laDen
saDkon par laDen gharon ke andar laDen
chaTyal maidanon mein laDen sahraon mein laDen
phir KHayal aata hai in jaghon par to pahle hi ghamsan ki laDai ho rahi hai
insan insan se laD raha hai
aur us ne tarah tarah ke
mohlik kimiyai jauhari aur nafsiyati hathiyar ijad kar liye hain
ek dusre ko dukh dene aur marne ke liye
sochti hun kahin insanon ne marne ka shauq to nahin pal liya
aur agar unhon ne marne hi ki Than li hai
to main kis chakkar mein un ka gham kha rahi hun
mujhe yahi fikr hai na ki zindagi arbon sal ke safar mein insan tak pahunchi hai
aur ab agar insanon ke hathon insan tabah ho gae
aur sath hi zamin barbaad ho gai to mein bhi mari jaungi
zindagi hi ruKHsat ho jaegi zamin se
phir KHayal aata hai main to zindagi ki bahut ibtidai surat hun
agar zindagi ka safar khoTa ho jaane ki is qadar fikr lahiq hai mujhe
to insan jo zindagi ka afzal-tarin namuna hain
wo ijtimai KHud-kushi ke raste par kyun chal nikle hain
sanpon se dushmani nibahte nibahte KHud sanp kyun ban gae hain
KHub-surat aur be-zarar sanp nahin
zahrile aur mohlik sanp jo ek dusre ko Das rahe hain
aur kuchh insan to daulat aur taqat sameT kar azhdahe ban gae hain
afsos to ye hai ki mare ziyaada-tar wo ja rahe hain jin ka koi qusur nahin hota
azdahon ki laDai mein chhoTe-moTe sanp
makkhiyon aur chiyunTiyon ki tarah pis kar rah jate hain
sochti hun kisi sailab ne zamin ko sanpon se pak bhi kar diya
to sanpon ki tarah phaTkarte insanon se kyunkar chhuTkara hoga
isi liye soch soch kar chup ho rahti hun
lekin ye chup andar hi andar mujhe khae jati hai
dekhiye mein pili paDti ja rahi hun
hare-bhare sabze se rukha-sukha ghas-phus banti ja rahi hun
aur zamin par sona bikharta ja raha hai
pahaDiyan sone se damak uThi hain
magar insan un se be-niyaz
kaghzi sone ki talash mein
ek dusre ka gala kaTte hue
zamin par mare mare phir rahe hain
kash insan kaghzi sone se nigah uTha kar dekhte
ki jis sanp ko wo shaitan samajh kar marne dauDte hain
wo to hirs ki surat mein us ke dil mein ja baiTha hai
aur un ke apne hathon kaghaz ke chand TukDon ki KHatir
nasl-e-insani ko halak karwa raha hai
sochti hun aag ugalte sanpon ki tarah
kisi insan ki phunkar ne mujhe chingari dikha di
to jangal ke jangal jal kar rakh ho jaenge
insan ko to apni nau ki fikr nahin
wo zamin par aabaad zindagi ki dusri suraton ki kya parwa karega
kash use fursat hoti dekhne ki
ki jis ghas-phus ko wo be-dhyani mein jila Dalta hai
wo zamin ka libas hai
is zamin ka jis ne use pala tha
jo sari zindagi ki tarah us ki bhi man hai
aur ghas-phus ko jala kar wo apni man ko be-satr kar raha hai
lekin main ye kya pakhan le baiThi hun
main to apna taaruf kara rahi thi
aur apne andar chhupe sanpon ki baat kar rahi thi
aur chal paDi sanpon se insan ki taraf
insanon ki taraf jo sanpon ki taraf chal rahe hain
waise sanp bhi apne bachche kha jata hai
aur ab insan bhi apne bachche kha raha hai
aur main wahi ghas
mahw-e-yas udas
- Book : din kaa phool (Pg. 177)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.